Quote
"baadalon se 'ishq ki sab hasraton ko chhoD kar bundein aati hain zamin par khvaahishon ko chhoD kar gaanv ki miTTi ki sondhi khushbuon ko chhoD kar ham kamaane aa gae apni jaDon ko chhoD kar zindagi mein ham ko itne zakhm phulon se mile dil lagaayaa kaanTon se ham ne gulon ko chhoD kar daur-e-haazir mein 'adaalat kaa yahi insaaf hai saare kaaraagaar mein hain mujrimon ko chhoD kar aasmaan chhu lein magar buniyaad se lipTe rahein peD zinda rah na paayaa hai jaDon ko chhoD kar hai faqat duniyaa mein ab to jhuuT kaa hi kaarobaar kaun sach kahtaa yahaan hai aainon ko chhoD kar"







