Quote
"bazm-e-tanhaai mein aks-e-shoala-paikar thaa koi yaa hamaare saamne yaadon kaa lashkar thaa koi qurbaton ke ghaaT par sukhi nadi saabit huaa faaslon ke dasht mein gahraa samundar thaa koi us ki saari iltijaaein hukm Thahraai gaiin jis ghaDi dekhaa gayaa jaame se baahar thaa koi devtaa hai ab vahi mandir ke aasan par jamaa Thokarein khaataa huaa raste kaa patthar thaa koi us ki khvaahish thi ki sath-e-aab par chal kar dikhaae kyaa muqaddar thaa ki dariyaa kaa muqaddar thaa koi karb apne baune-pan kaa jheltaa huun aaj tak soch ubhri thi bujhi mere baraabar thaa koi saamne us ke agar suraj nahin thaa 'ehtiraam' paani paani aakhirash kyuun shoala-paikar thaa koi"







