Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Faez Dehlvi
mare dil biich naqsh-e-naaznin hai
magar ye dil nahin yaaro nagin hai
kamar par teri us kaa dil huaa mahv
tiraa aashiq bahut baarik-bin hai
· · ·
Faez Dehlvi
dhuup saa yu kapul naari hai
kiran suraj ki vo kanaari hai
chhup raqibaan suun aanaa nahin vo chaand
kyaa rain hijr ki andiyaari hai
· · ·
Faez Dehlvi
yaar meraa miyaan-e-gulshan hai
gharq-e-khun phuul taa-ba-daaman hai
dil lubhaataa hai sab kaa vo saajan
dil-farebi mein us ko kyaa fan hai
· · ·
Faez Dehlvi
meri jaan vo baada-khvaari yaad hai
vaqt-e-masti girya-zaari yaad hai
motiyaa kaa haar o champaa ki chhaDi
joDaa-e-daaman-kinaari yaad hai
· · ·
Faez Dehlvi
be-sabab ham se judaai na karo
mujh se aashiq se buraai na karo
khaaksaaraan ko na kariye paamaal
jag mein firaun si khudaai na karo
· · ·
Faez Dehlvi
jaagir agar bahut na mili ham kuun gham nahin
haasil hamaare mulk-e-qanaaat kaa kam nahin
is saath mah-rukhaan ko nahin kuchh baraabari
yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin
· · ·
Faez Dehlvi
ai sajan vaqt-e-jaan-gudaazi hai
mausam-e-aish-o-fasl-baazi hai
in chakoron se duur rah ai chaand
qaul ushshaaq kaa namaazi hai
· · ·
Faez Dehlvi
abru ne tire khinchi kamaan jaur-o-jafaa par
qurbaan karun sau jiiv tire tir-e-adaa par
yaaqut ko laave nahin khaatir mein kabhi vo
jis ki nazar ai yaar paDe teri hinaa par
· · ·
Faez Dehlvi
khubaan ke biich jaanaan mumtaaz hai saraapaa
andaaz-e-dilbari mein e'jaaz hai saraapaa
pal pal maTak ke dekhe Dag Dag chale laTak ke
vo shokh chhal chhabilaa tannaaz hai saraapaa
· · ·
Faez Dehlvi
jaan-e-ayyaam-e-dilbari hai yaad
sair-e-gul-zaar-o-mai-khori hai yaad
dekhtaa nahin suraj kuun nazraan bhar
jis kuun tujh jaama-e-zari hai yaad
· · ·
Faez Dehlvi
mustamindaan ko sataayaa na karo
baat ko ham se duraayaa na karo
dil shikanje mein na Daalo meraa
zulf ko gundh banaayaa na karo
· · ·
Faez Dehlvi
ek pal jaa na kahun nain suun ai nur-e-basar
Tuk na ho is dil-e-taarik suun ai badr badar
teri is subh binaa gosh-o-khat-e-mushkin suun
sair kartaa huun 'ajab shaam-o-sahar shaam-o-sahar
· · ·
Faez Dehlvi
jab sajile khiraam karte hain
har taraf qatl-e-aam karte hain
mukh dikhaa chhab banaa libaas sanvaar
aashiqon ko ghulaam karte hain
· · ·
Faez Dehlvi
zulf teri hui kamand mujhe
is mein baandhaa hai band band mujhe
khaak seti sajan uThaa ke kiyaa
ishq tere ne sar-buland mujhe
· · ·
Faez Dehlvi
mujh paas kabhi vo qad-e-shamshaad na aayaa
is ghar mane vo dil-bar-e-ustaad na aayaa
gulshan miri ankhiyaan mein lage gulkhan-e-dozakh
jo sair ko mujh saath pari-zaad na aayaa
· · ·
Faez Dehlvi
ai yaar nasihat ko agar gosh kare tu
ye taur-o-tariq apne faraamosh kare tu
divaane siyaane huein sab dekh tujh ankhiyaan
ik chashm ki gardish seti behosh kare tu
· · ·
Faez Dehlvi
ai khub-ru farishta siyar-anjuman mein aa
sarv-e-ravaan-e-husn hamaare chaman mein aa
munh baandh kar kali saa na rah mere paas tu
khandaan ho kar ke gul ki sifat Tuk sukhan mein aa
· · ·
Faez Dehlvi
tiri gaali mujh dil ko pyaari lage
duaa meri tujh man mein bhaari lage
tadi qadr-e-aashiq ki bujhe sajan
kisi saath agar tujh kuun yaari lage
· · ·
Faez Dehlvi
har aashnaa se us bin begaana ho rahaa huun
majlis mein sham'-ru ki parvaana ho rahaa huun
mujh ko malaamat-e-khalq khaatir mein naahin hargiz
zulfaan ki fikr mein main divaana ho rahaa huun
· · ·
Faez Dehlvi
miraa mahbub sab kaa man haran hai
nazar kar dekh vo aahu nayan hai
nahin ab jag mein vaisaa aur saajan
mujhe surat-shanaasi biich fan hai
· · ·
Faez Dehlvi
guftam ki mukh tiraa kyaa gufta suraj suun behtar
guftam ki kaan kaa dar gufta ki bah z akhtar
guftam dahaan-o-ruyat gufta ki ghuncha-o-gul
guftam kapol kaa khaal gufta ki qurs-e-ambar
· · ·
Faez Dehlvi
tujh binaa dil ko be-qaraari hai
dam-ba-dam mujh ko aah-o-zaari hai
haath tere jo dekhi hai talvaar
aarzu dil ko jaan-sipaari hai
· · ·
Faez Dehlvi
pech bhaayaa mujh ko tujh dastaar kaa
band hai dil turra-e-zartaar kaa
ji phansaa hai jaa ke us zulfon ke biich
dil shahid us nargis-e-bimaar kaa
· · ·
Faez Dehlvi
chaudhvaan us chandar kaa saal huaa
husn mein badr baa-kamaal huaa
tujh saa chanchal nahin zamaane mein
ram mein ai man hiran ghazaal huaa
· · ·







