SHAWORDS

ai yaar nasihat ko agar gosh kare tu — Faez Dehlvi

HomeFaez DehlviGhazal
"ai yaar nasihat ko agar gosh kare tu ye taur-o-tariq apne faraamosh kare tu divaane siyaane huein sab dekh tujh ankhiyaan ik chashm ki gardish seti behosh kare tu ai sarv-chamaan aave agar meri baghal mein jannat kaa chaman khaana-e-aaghosh kare tu huraan na karein khuld ke gulbun kaa nazaaraa jab sim-badan apne ko gul-posh kare tu is 'faaez'-e-bechaare ki tab qadr pacchaane ik jaam mohabbat kaa agar nosh kare tu"
Urdu

اے یار نصیحت کو اگر گوش کرے تو یہ طور و طریق اپنے فراموش کرے تو دیوانے سیانے ہویں سب دیکھ تجھ انکھیاں اک چشم کی گردش ستی بے ہوش کرے تو اے سرو چماں آوے اگر میری بغل میں جنت کا چمن خانۂ‌ آغوش کرے تو حوراں نہ کریں خلد کے گلبن کا نظارا جب سیم بدن اپنے کو گل پوش کرے تو اس فائزؔ بے چارے کی تب قدر پچھانے اک جام محبت کا اگر نوش کرے تو

Hindi

ऐ यार नसीहत को अगर गोश करे तू ये तौर-ओ-तरीक़ अपने फ़रामोश करे तू दीवाने सियाने हुएँ सब देख तुझ अँखियाँ इक चश्म की गर्दिश सेती बेहोश करे तू ऐ सर्व-चमाँ आवे अगर मेरी बग़ल में जन्नत का चमन ख़ाना-ए-आग़ोश करे तू हूराँ न करें ख़ुल्द के गुलबुन का नज़ारा जब सीम-बदन अपने को गुल-पोश करे तू इस 'फ़ाएज़'-ए-बेचारे की तब क़द्र पछाने इक जाम मोहब्बत का अगर नोश करे तू

ai yaar nasīhat ko agar gosh kare tū
F
Faez Dehlvi
Faez Dehlvi
poet47 quotes

More by Faez Dehlvi

View all →
Quote
"dhuup saa yu kapul naari hai kiran suraj ki vo kanaari hai chhup raqibaan suun aanaa nahin vo chaand kyaa rain hijr ki andiyaari hai nahin asar kartaa sabr kaa marham dil-e-aashiq mein zakhm kaari hai gul-e-baagh-e-junun hai rusvaai izzat-e-mulk-e-ishq khvaari hai khun-e-dil baada-o-jigar hai kabaab naghma-e-bazm-e-vasl zaari hai lailaa majnun kaa zikr sard huaa ab tumhaari hamaari baari hai milnaa aashiq suun hi bahaane suun ye nasihat tuman hamaari hai mujh kuun mat jaano yaad suun ghaafil raat din dil kuun lau tumaari hai dil bandhaa sakht teri zulfaan par aql 'faaez' ki un bisaari hai"
F
Faez Dehlvi
Quote
"jaagir agar bahut na mili ham kuun gham nahin haasil hamaare mulk-e-qanaaat kaa kam nahin is saath mah-rukhaan ko nahin kuchh baraabari yusuf se ye nigaar-e-pari-zaad kam nahin khush-surataan se kyaa karun main aashnaai ab mujh ko to in dinon mein mayassar diram nahin dil baandhte nahin hain hamaare milaap par mah-talataan mein mujh ko to ab kuchh bharam nahin milte ho sab ke jaa ke ghar aur ham suun ho kanaar kuchh ham to un chakoron se ai maah kam nahin zaahir ke dost aate nahin kaam vaqt par talvaar kaaT kyaa kare jis ko jo dam nahin 'faaez' ko bhaayaa misra-e-'yakrang' ai sajan gar tum miloge un seti dekhoge ham nahin"
F
Faez Dehlvi
Quote
"mare dil biich naqsh-e-naaznin hai magar ye dil nahin yaaro nagin hai kamar par teri us kaa dil huaa mahv tiraa aashiq bahut baarik-bin hai jo kahiye us ke haq mein kam hai be-shak pari hai huur hai ruh-ul-amin hai ghulaam us ke hain saare ab sirijan nagar mein husn ke kursi-nashin hai nahin ab jag mein vaisaa aur pitam sabi khush-surataan suun naaznin hai mujhe hai moshgaafi mein mahaarat jo nit dil mahv khatt-e-ambarin hai nazar kar lutf ki ai shaah-e-khubaan tiraa 'faaez' ghulaam-e-kam-tarin hai"
F
Faez Dehlvi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb