Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Faheem Jogapuri
falak pe hansne lage chaand taare shaam ke baad
hamin udaas hain dariyaa kinaare shaam ke baad
khanakti chuDiyaan khushbuein pyaar ki baatein
tamaam vasl ke hain istiaare shaam ke baad
· · ·
Faheem Jogapuri
raat kaa ab koi jaadu nahin chalne vaalaa
ik sitaaraa hai use din mein badalne vaalaa
dushmani laakh nibhaate rahein kaale baadal
shaam se pahle ye suraj nahin Dhalne vaalaa
· · ·
Faheem Jogapuri
apne qadam ki chaap se yuun Dar rahe hain ham
maqtal ki samt jaise safar kar rahe hain ham
kyaa chaand aur taaron ko ham jaante nahin
ai aasmaan vaalo zamin par rahe hain ham
· · ·
Faheem Jogapuri
jab bhi hanste hue inkaar kiyaa hai us ne
dil pe ik aur nayaa vaar kiyaa hai us ne
us ko nafrat ki nigaahon se na dekhe koi
umr bhar khud ko bahut pyaar kiyaa hai us ne
· · ·
Faheem Jogapuri
yaad kar kar ke tiri yaad miTaane nikle
le ke ghi haath mein ham aag bujhaane nikle
ham faqiron ke qalam se jo khazaane nikle
jholiyaan le ke shahanshaah charaane nikle
· · ·
Faheem Jogapuri
bech kar tahzib daulat ke pujaari ho gae
is zamaane ke sukhanvar bhi madaari ho gae
rakh ke vo mizaan par divaan apnaa ro paDe
jab kisi ke be-sure alfaaz bhaari ho gae
· · ·
Faheem Jogapuri
shaam khaamosh hai peDon pe ujaalaa kam hai
lauT aae hain sabhi ek parinda kam hai
dekh kar suukh gayaa kaise badan kaa paani
main na kahtaa thaa miri pyaas se dariyaa kam hai
· · ·
Faheem Jogapuri
aankhon se kisi khvaab kaa rishta hi nahin thaa
is aaine mein aks Thahartaa hi nahin thaa
kyon dekh rahaa thaa use chup-chaap zamaana
rukhsat jo huaa sirf hamaaraa hi nahin thaa
· · ·
Faheem Jogapuri
khayaal-o-fikr kaa sadqa utaarte rahiye
lahu pilaa ke ghazal ko sanvaarte rahiye
ghurur-e-fath mein dushman zarur Dubegaa
hai jitnaa to abhi jang haarte rahiye
· · ·
Faheem Jogapuri
der ke saath haram aae shivaale aae
aaj chhan chhan ke andheron se ujaale aae
barhaman aae hain zunnaar liye haathon mein
hazrat-e-shaikh bhi dastaar sambhaale aae
· · ·
Faheem Jogapuri
mil na paae kahin to hairat kyaa
tum samundar hue na ham dariyaa
mauj-dar-mauj hai yahi charchaa
kashtiyon se milaa hai kyon dariyaa
· · ·
Faheem Jogapuri
zehn jab tere tasavvur mein ravaan hotaa hai
tu bhi bole to samaaat pe giraan hotaa hai
raaz-e-pinhaan to bahar-haal ayaan hotaa hai
lab jahaan hilte nahin ashk ravaan hotaa hai
· · ·
Faheem Jogapuri
qubul ho gai us ki duaa to kyaa hogaa
agar vo ban gayaa ik din khudaa to kyaa hogaa
zavaal-e-fikr-o-nazar kaa ye silsila ik din
shikast-e-fikr-o-nazar ban gayaa to kyaa hogaa
· · ·
Faheem Jogapuri
khud pi saki na jab to zamin ko pilaa gai
ik duudh ke gilaas ko billi giraa gai
baadal dikhaa ke aankhon mein sapne sajaa gai
saavan ki rut bhi gaanv ko ullu banaa gai
· · ·
Faheem Jogapuri
agar ho zarf se khaali to kyaa rakkhaa hai dariyaa mein
samundar ko bhi main ne Dubte dekhaa hai qatra mein
ujaale DhunDne vaale ujaale DhunD lete hain
andheraa hai magar kuchh raushni ab bhi hai duniyaa mein
· · ·
Faheem Jogapuri
manzil nahin safar mein junun-e-safar mile
naa-mo'tabar khushi hai gham-e-mo'tabar mile
ham ne to yuun kisi pe bharosaa nahin kiyaa
phir bhi koi milaa to bahut TuuT kar mile
· · ·
Faheem Jogapuri
kyaa karoge bachaav suraj kaa
jaante ho subhaav suraj kaa
garm hai vo to kam nahin ham bhi
kaun sahtaa hai taao suraj kaa
· · ·
Faheem Jogapuri
dosti mein na dushmani mein ham
kyaa nazar aaeinge kisi mein ham
kyuun sajaate hain khvaab sadiyon ke
chand lamhon ki zindagi mein ham
· · ·
Faheem Jogapuri
aanaa thaa jise aaj vo aayaa to nahin hai
ye vaqt badalne kaa ishaaraa to nahin hai
daavat de kabhi kyuun vo mohabbat se bulaae
dariyaa se miri pyaas kaa rishta to nahin hai
· · ·
Faheem Jogapuri
kyaa koi tasvir ban sakti hai surat ke baghair
phir kisi se kyuun mile koi zarurat ke baghair
dushmani to chaahne ki intihaa kaa naam hai
ye kahaani bhi adhuri hai mohabbat ke baghair
· · ·
Faheem Jogapuri
kuchh koh-kan jo vaqf-e-zar-o-maal ho gae
tesha-ba-dast ho ke bhi kangaal ho gae
naam-o-numud izzat-o-shohrat kamaal-o-fan
ye sab to meri raah ke janjaal ho gae
· · ·
Faheem Jogapuri
paDhi gai na vo tahrir-e-gham jabinon se
jo ponchhti rahi ashkon ko aastinon se
kabhi na degi sahaaraa shikastagi dil ki
safar na kijiye TuuTe hue safinon se
· · ·
Faheem Jogapuri
hain muddaton se dekhne vaalon ke muntazir
ehsaas-e-be-panaah ki jaagir aur ham
koshish na kaam aaegi ye kis ne kah diyaa
baiThe biThaae maan lein taqdir aur ham
· · ·
Faheem Jogapuri
du'aaein maang rahe hain kai khayaal abhi
khudaa ke ghar se farishton ko mat nikaal abhi
dabaa le dard abhi aansuon ko paal abhi
tiraa ye aakhiri sikka hai mat uchhaal abhi
· · ·







