SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFaiyaz Rashk(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jaari to ho sab ke liye farmaan-e-mohabbat kar dijiye dil se zaraa ailaan-e-mohabbat is shakhs ko dukh-dard sataataa bhi nahin hai jis dil mein rahaa kartaa hai imaan-e-mohabbat aankhon se badan se tiri zulfon ki mahak se kartaa huun main din-raat hi ai jaan-e-mohabbat kyaa kijiye meraa na huaa jis ke liye main kartaa rahaa har moD pe saamaan-e-mohabbat kuchh bhi nahin behtar hai zamaane mein kahin par duniyaa mein nahin kuchh bhi hai shaayaan-e-mohabbat mushkil hain bahut raaste nafrat ke ai bhaai ham sab ke liye sab se hai aasaan mohabbat un ke liye duniyaa bhi vasia hoti hai 'fayyaaz' hotaa hai vasia jin kaa bhi daamaan-e-mohabbat"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"jahaan mein khud ko banaane mein der lagti hai kisi maqaam pe aane mein der lagti hai uruj-e-vaqt pe jaane mein der lagti hai har ek ilm ko paane mein der lagti hai phir un ke paas bhi jaane mein der lagti hai hamesha un ko manaane mein der lagti hai hamaare shahr mohalle gali kaa ab maahaul bigaD gayaa to banaane mein der lagti hai anaa ki soch ko yaa phir anaa ke honTon ko ghamon kaa haal bataane mein der lagti hai hai husn vaalon kaa andaaz ye zamaane mein hai ishq phir bhi jataane mein der lagti hai ye baat aaegi tum ko samajh mein kab 'fayyaaz' bulandi milne mein paane mein der lagti hai"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"miTaa ke tirgi tanvir chaahtaa hai dil har ek khvaab ki taabir chaahtaa hai dil jise sambhaal ke rakh le zamaana yaadon mein vo apni zaat ki tasvir chaahtaa hai dil main apne aap se jab jab savaal kartaa huun mire javaab mein taasir chaahtaa hai dil sukhan payaam ho duniyaa ke vaaste koi dilon ke vaaste taqrir chaahtaa hai dil na chaahtaa hai ki tir-o-kamaan ki baat karun na apne haath mein shamshir chaahtaa hai dil tumhein se raunaqein qaaem hain bazm-e-hasti ki tumhaare pyaar ki jaagir chaahtaa hai dil vo jis pe rashk kare har koi zamaane mein qalam ki shokhi-e-tahrir chaahtaa hai dil"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain ghazal vaale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain zabaan ki chaashni se tar-ba-tar ghazlon ko paDhtaa huun ye ruhaani ghizaa hai ham jise marghub rakhte hain ghazal tahzib hai meri ghazal meraa tamaddun hai buzurgon ne jo rakkhaa thaa vahi uslub rakhte hain sunaate hain tahat mein jab ghazal andaaz mein apne pukaar uThti hai duniyaa zauq ham kyaa khuub rakhte hain ghazal bas is liye phailaa rahi hai apne daaman ko ki ham ghazlon ke tevar ko bahut hi khuub rakhte hain jinhein ghazlon se uljhan hai miyaan 'fayyaaz' kyaa bolein nazaakat se ghazal ki ham unhein marub rakhte hain"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"khayaal-o-khvaab ko parvaaz detaa rahtaa huun main apne aap ko aavaaz detaa rahtaa huun jo un ko rakhegaa duniyaa mein surkh-ru kar ke main apne bachchon ko vo raaz detaa rahtaa huun main chheDtaa huun sadaa shaairi ke taaron ko aur apne fan se koi saaz detaa rahtaa huun palaT ke aaeinge ik din zarur achchhe din main apne taur to aavaaz detaa rahtaa huun jhulaa ke haal ko aksar zabaan ke jhule mein gham-e-jahaan ko mein andaaz detaa rahtaa huun lagaa ke siine se 'fayyaaz' us ke paikar ko ghazal ko har ghaDi eazaaz detaa rahtaa huun"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"har qadam khauf hai dahshat hai riyaa-kaari hai raushni mein bhi andheron kaa safar jaari hai taaqat-e-kufr ne kohraam machaa rakkhaa hai jaane kis kis ko miTaane ki ye tayyaari hai mil ke sab qahr bapaa karte hain insaanon par hai junun zehn mein aur aankh mein chingaari hai apne andaaz se ek saath yahaan par rahnaa ye hamaari hi nahin teri bhi laachaari hai ham ne har 'ahd mein rakkhaa hai bharam teraa jab tu hi ai vaqt bataa kyaa ye vafaadaari hai us ko duniyaa mein koi aankh dikhaa saktaa hai kyaa 'rashk' jis qaum mein ehsaas hai bedaari hai"
F
Faiyaz Rashk
Quote
"taaqat ke saare zor ko khaamosh kar diyaa khaamoshiyon ne shor ko khaamosh kar diyaa jis Dor se nikalti rahi pyaar ki sadaa zaalim ne aise Dor ko khaamosh kar diyaa sab kuchh to Thiik thaa jo nazar paanv par paDi masti mein Duube mor ko khaamosh kar diyaa vo bhiiD thi jo TuuT paDi aur us jagah haathon mein aae chor ko khaamosh kar diyaa aksar yahi huaa hai ki jismon ki aag ne jismon ke por por ko khaamosh kar diyaa ai dost mai se duur hi rahnaa ki us ne to kitne hi baada-khor khaamosh kar diyaa 'fayyaaz' ham diyaa nahin jis ko ki aap ne shab-bhar jalaayaa bhor ko khaamosh kar diyaa"
F
Faiyaz Rashk