SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFarooq Jaiasi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujh ko na thaa maalum to hai is mein ajab kyaa ye kaun bataa saktaa hai ho jaaegaa kab kyaa is kaa to maza tab hai ki jab daaimi ho jaae kuchh din ke liye hain bhi to hain aish-o-tarab kyaa saaya hai kahin nuur miraa zauq faraavaan suraj ki tapish kyaa hai ye taariki-e-shab kyaa khud uTh ke chali aati hai manzil miri jaanib aise mein ho mujh ko kisi manzil ki talab kyaa is nasl ko ham ne hi to bebaak banaayaa ho apne buzurgon kaa inhein paas-o-adab kyaa jo roz nai tarz-e-sitam karte hain ijaad khud khuun mein vo ik roz nahaaein to ajab kyaa allaah pe 'faaruq' tavakkul to kare tu phir dekh tire haq mein karegaa tiraa rab kyaa"
Farooq JaiasiFarooq Jaiasi
Quote
"maslahat ke liye ab sar na jhukaayaa jaae dil na milte hon to kyon haath milaayaa jaae kaif-aavar hai bahut un se bichhaD kar milnaa aur ik baar bichhaD kar unhein paayaa jaae ham andheron hi mein sahraa kaa safar kar leinge raushni ke liye khema na jalaayaa jaae shajar-e-zabt se Tapke na samar aansu kaa ehtiraaman use palkon pe sajaayaa jaae chaandni chaand mahak phuul shafaq rang-e-gulaab aur kis naam se ab un ko bulaayaa jaae jaane us paar ke haalaat hon kaise ab ke kashtiyon ko sar-e-saahil na jalaayaa jaae so rahaa ho koi to us ko jagaaein 'faaruq' jaagtaa ho jo use kaise jagaayaa jaae"
Farooq JaiasiFarooq Jaiasi
Quote
"main kar luun sajda ye jazb-e-asar mile na mile asar mile to tiraa sang-e-dar mile na mile hamaare TuuTe dilon ko bhi joDiye saahib phir aap saa koi aaina-gar mile na mile safar hi baandh liyaa paanv mein to Darnaa kyaa sulagti dhuup mein koi shajar mile na mile khudaa kare ki miri us ki ek ho manzil phir us ke jaisaa koi ham-safar mile na mile nigaah bhar ke dar-o-baam dekh lene do palaT ke aauun to phir meraa ghar mile na mile lagaa diye hain shajar ye khushi hi kyaa kam hai ab in darakhton kaa mujh ko samar mile na mile unhein khabar hai miri ek ek dhaDkan ki balaa se mujh ko koi naama-bar mile na mile nazar milaa ke vo ik baar kah gae sab kuchh dobaara ab miri un se nazar mile na mile hamaaraa dil hi hamaaraa hai raahbar 'faaruq' ab aur koi hamein raahbar mile na mile"
Farooq JaiasiFarooq Jaiasi
Quote
"pahli si mujh pe chashm-e-inaayat nahin rahi shaayad ab is ko meri zarurat nahin rahi be-vajh kaaT detaa hai meri har ek baat us ki nazar mein ab miri qimat nahin rahi mujh se gurez karne lagaa jab se meraa yaar mujh ko bhi us se milne ki ujlat nahin rahi vo bevafaa nahin ye mujhe hai yaqin magar ab e'tibaar karne ki himmat nahin rahi jin se mile hain zakhm unhein bhi duaaein dein dil mein mire kisi se kudurat nahin rahi be-samt ho ke rah gai bachchon ki zindagi maan baap ki jo yaad nasihat nahin rahi 'faaruq' sar pe saaya hai maan ki duaaon kaa taa-haal mujh pe koi musibat nahin rahi"
Farooq JaiasiFarooq Jaiasi
Quote
"kyaa khataa hui ham se kuchh pataa nahin miltaa ham duaa to karte hain muddaaa nahin miltaa us se lau lagaao to apnaa sar jhukaao to phir zaraa bataao to tum ko kyaa nahin miltaa chal paDein to manzil khud paas aane lagti hai jab qadam nahin uThte raasta nahin miltaa ungliyaan uThaate hain jo miri vafaaon par kyaa unhein haqiqat kaa aaina nahin miltaa yuun to hain hasin laakhon aaj bhi zamaane mein lekin aap ke jaisaa dusraa nahin miltaa kaun dekhtaa hai ab khud mein husn-e-jaanaanaan apnaa aks ab koi chumtaa nahin miltaa bhaai ko judaa kar dein apne bhaaiyon se ye dil ko joDne vaalaa rahnumaa nahin miltaa un ki barhami kaa hai khauf dil mein ai faaruq ab hasin gunaahon mein bhi mazaa nahin miltaa"
Farooq JaiasiFarooq Jaiasi