SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaT gai be-mudda'aa saari ki saari zindagi zindagi si zindagi hai ye hamaari zindagi kyaa iraadon se hai haasil? taaqat-o-fursat kahaan haae kahlaati hai kyuun be-ikhtyaari zindagi ai sar-e-shorida ab tere vo saudaa kyaa hue! kyaa sadaa se thi yahi ghaflat-shiaari zindagi dard ulfat kaa na ho to zindagi kaa kyaa mazaa aah-o-zaari zindagi hai be-qaraari zindagi aarzu-e-zist bhi yaan aarzu-e-did hai tu na pyaaraa ho to mujh ko ho na pyaari zindagi aur murjhaaegi teri chheD se dil ki kali kar na dubhar mujh pe ai baad-e-bahaari zindagi yaan to ai 'nairang' donon ke liye saamaan nahin maut bhi mujh par giraan hai gar hai bhaari zindagi"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang
Quote
"kis tarah vaaqif hon haal-e-aashiq-e-jaan-baaz se un ko fursat hi nahin hai kaarobaar-e-naaz se mere dard-e-dil se goyaa aashnaa hain chob-o-taar apne naale sun rahaa huun parda-haa-e-saaz se zarra zarra hai yahaan ik katba-e-sirr-alast aap hi vaaqif nahin hain rasm-e-khatt-e-raaz se dil gae imaan gae aqlein gaiin jaanein gaiin tum ne kyaa kyaa kar dikhaayaa ik nigaah-e-naaz se aah! kal tak vo navaazish! aaj itni be-rukhi kuchh to nisbat chaahiye anjaam ko aaghaaz se"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang
Quote
"kahte hain iid hai aaj apni bhi iid hoti ham ko agar mayassar jaanaan ki diid hoti qimat mein did-e-rukh ki ham naqd-e-jaan lagaate baazaar-e-naaz lagtaa dil ki kharid hoti kuchh apni baat kahte kuchh meraa haal sunte naaz-o-niyaaz ki yuun guft-o-shunid hoti jalve dikhaate jaate vo tarz-e-dilbari ke aur dil mein yaan havaa-e-naaz-e-mazid hoti tegh-e-nazar se dil par vo vaar karte jaate aur lab pe yaan sadaa-e-hal-mim-mazid hoti abru se un ke ghamza tir-e-adaa lagaataa ye dil qatil hotaa ye jaan shahid hoti kuchh hausla baDhaataa andaaz-e-lutf-e-jaanaan kuchh daghdagha saa hotaa kuchh kuchh umiid hoti"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang
Quote
"kabhi surat jo mujhe aa ke dikhaa jaate ho din miri ziist ke kuchh aur baDhaa jaate ho ik jhalak tum jo lab-e-baam dikhaa jaate ho dil pe ik kaundti bijli si giraa jaate ho mere pahlu mein tum aao ye kahaan mere nasib ye bhi kyaa kam hai tasavvur mein to aa jaate ho taaza kar jaate ho tum dil mein puraani yaadein khvaab-e-shirin se tamannaa ko jagaa jaate ho itni ham ko bhi dikhaate ho masihaa-nafasi hasrat-e-murda ko aa aa ke jilaa jaate ho nigah-e-lutf mein jaadu hai tumhaari jaanaan saare shikve-gile ik pal mein bhulaa jaate ho shola-e-tur se tu vaadi-e-aiman hi jalaa tum jahaan aate ho ik aag lagaa jaate ho hai to 'nairang' vahi ishq kaa ronaa-dhonaa inhi baaton mein nayaa rang dikhaa jaate ho"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang
Quote
"mire pahlu se jo nikle vo miri jaan ho kar rah gayaa shauq dil-e-zaar mein armaan ho kar ziist do roza hai hans-khel ke kaaTo is ko gul ne ye raaz bataayaa mujhe khandaan ho kar ashk-e-shaadi hai ye kuchh muzhda sabaa laai hai shabnam-aaluda huaa phuul jo khandaan ho kar zarra-e-vaadi-e-ulfat pe munaasib hai nigaah falak-e-husn pe khurshid-e-darakhshaan ho kar shokhiyaan us nigah-e-zer-e-mizha ki mat puchh dil-e-aashiq mein khubi jaati hai paikaan ho kar shiddat-e-shauq-e-shahaadat kaa kahun kyaa aalam tegh-e-qaatil paDi sar pe mire ehsaan ho kar ab to vo khabt mire ishq ko kah kar dekhein khud hi aaine ko takne lage hairaan ho kar"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang
Quote
"phir vahi ham hain khayaal-e-rukh-e-zebaa hai vahi sar-e-shorida vahi 'ishq kaa saudaa hai vahi daana-o-daam sambhaalaa mire sayyaad ne phir apni gardan hai vahi 'ishq kaa phandaa hai vahi phir lagi rahne tasavvur mein vo mizhgaan-e-daraaz rag-e-jaan mein khalish-e-khaar-e-tamannaa hai vahi phir lagaa rahne vahi silsila-e-naaz-o-niyaaz jalva-e-husn vahi zauq-e-tamaashaa hai vahi phir huaa ham ko dil-o-din kaa bachaanaa mushkil nigah-e-naaz kaa phir ham se taqaazaa hai vahi naaz ne phir kiyaa aaghaaz vo andaaz-e-niyaaz husn-e-jaan-soz ko phir soz kaa daa'vaa hai vahi mahv-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq gul-e-shaadaab vahi bulbul-e-shaidaa hai vahi phir chamak uTThi vo kajlaai hui chingaari rakht-e-hasti hai vahi 'ishq kaa sho'la hai vahi aarzu ji uThi phir pyaar jo us but ne kiyaa phir lab-e-yaar mein ejaaz-e-masihaa hai vahi paas-e-naamus ne phir rukhsat-e-raftan chaahi shohrat-e-husn vahi ulfat-e-rusvaa hai vahi phir hui lailaa-o-majnun ki hikaayat taaza un kaa 'aalam vahi 'nairang' kaa naqsha hai vahi"
Ghulam Bhik NairangGhulam Bhik Nairang