SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"junun-e-ishq ko bhi ham ilaaj-e-gham samajhte hain jo dil par zakhm lagtaa hai use marham samajhte hain hai jis ko is zamaane mein bas apne kaam se matlab use insaaniyat ke vaaste ham sam samajhte hain kaho ye daastaan-e-ranj-o-gham tum ghair se jaa kar ham aisi be-tuki baatein bahut hi kam samajhte hain sukun us ko mayassar ho gayaa ye mil gai jis se nigaah-e-yaar ko ham phuul par shabnam samajhte hain binaa insaaniyat ki Daal di jis zaat ne 'anjum' use ahl-e-khirad sarmaaya-e-aadam samajhte hain"
Ghulam Yahya AnjumGhulam Yahya Anjum
Quote
"kyon faqat bigDe hue haalaat kaa charchaa karein aao ham kuchh dahr mein behtar karein achchhaa karein khud tahi-daaman sahi lekin unhein ai yaar-e-man qimti afkaar mein taulaa karein naapaa karein aaiye chaliye hamaare ghar zaraa sun lijiye haq bhi kahne ke liye is daur mein parda karein dhuup ki shiddat pe ho tanqid jaaez hai magar jaur hain saae mein kah do vo zaraa niklaa karein sab ki muTThi mein agar taqdir un ki hai to phir kyon gile shikve karein ham kyon ye vaavailaa karein tirgi hi tirgi manzil-ba-manzil duur tak muskuraa dein vo tabiat se zaraa aisaa karein ham ne jo chaahaa kiyaa jo chaaheinge hogaa yunhi dekhne vaale hamein dekhaa karein dekhaa karein"
Ghulam Yahya AnjumGhulam Yahya Anjum
Quote
"gham-e-qismat gham-e-duniyaa gham-e-jaanaan le kar phir rahaa huun main zamaane mein ye saamaan le kar aaj nikle hain sanvar kar vo khudaa khair kare husn ki Dhaal liye chashm ki paikaan le kar hai miraa daa'vaa nahin paaoge mujh saa koi DhunDhne nikloge gar sham'-e-farozaan le kar kyaa kahun husn-e-shab-e-vasl bas itnaa samjho ek bijli thi magar surat-e-insaan le kar jaane kis baat pe be-saakhta ho kar barham uTh gae bazm se vo halqa-e-yaaraan le kar jaane kyaa kyaa the iraade mire dil mein lekin rah gayaa yunhi magar hasrat-o-armaan le kar laakh nazron mein basaa lein ki samo lein dil mein vo nikal jaate hain chupke se dil-o-jaan le kar jab sunaai na de bulbul kaa taraana 'anjum' kyaa kareinge gul-o-gulzaar-o-gulistaan le kar"
Ghulam Yahya AnjumGhulam Yahya Anjum
Quote
"kuchh ham se zulmat-e-shab-e-hijraan na puchhiye zakhmi dilon se dard kaa unvaan na puchhiye ye naaz ye ghurur ye shoala-sifat mizaaj kis khaak se banaa hai ye insaan na puchhiye hai mausam-e-khizaan kaa tasallut har ek su kaise manaaein jashn-e-bahaaraan na puchhiye aaina le ke dekhiye khud apne surkh lab hotaa hai kaisaa laal-e-badakhshaan na puchhiye kyaa huun kahaan huun kuchh bhi nahin hai mujhe khabar bas aalam-e-tasavvur-e-jaanaan na puchhiye jo aashnaa-e-raaz-e-gul-o-yaasman na ho us be-khabar se haal-e-gulistaan na puchhiye kaaba gayaa kalisaa gayaa mai-kada gayaa us bevafaa ki diid kaa armaan na puchhiye 'anjum' nashaat-o-aish mein guzri miri hayaat ab mujh se meraa haal-e-pareshaan na puchhiye"
Ghulam Yahya AnjumGhulam Yahya Anjum