Quote
"kahaan ehsaan meri zaat par taqdir kaa hogaa huaa gar kuchh mire haq mein sila tadbir kaa hogaa miri har shab guzar jaati hai aksar is tamanna mein koi to khvaab meri is nai taabir kaa hogaa buzurgon kaa bhi saaya ab to sar se chhin gayaa apne ki ye bhi haadisa likkhaa miri taqdir kaa hogaa sabhi auraaq kahne ko to ham ne kar liye hain pur tum aao to izaafa ik nai tahrir kaa hogaa dilaasa donon jaanib se nai naslon ko miltaa hai na jaane masala kab hal magar kashmir kaa hogaa vo jin baaton se ab tak munharif hote rahe 'saifi' vahi unvaan hamaari aaj phir taqrir kaa hogaa"







