SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHosh Bilgrami(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"maaal-e-kaar na kuchh bhi huaa to kyaa hogaa na ham rahe na zamaana rahaa to kyaa hogaa main hans rahaa huun zamaane ki shaad-kaami par charaagh-e-aish jo gul ho gayaa to kyaa hogaa mujhe fareb na de ai tilism-e-khvaab-o-khayaal rukh-e-hayaat agar phir gayaa to kyaa hogaa zamir-e-dahr mein vo zindagi ki lahr kahaan dilon mein soz-e-mohabbat rahaa to kyaa hogaa talaash-e-manzil-e-hasti zarur hai lekin nishaan-e-raah na gar mil sakaa to kyaa hogaa tumhein yaqin hai ki hai khel raqs-e-betaabi jo mere dil ko sukun aa gayaa to kyaa hogaa maaal-e-mausam-e-gul hai khizaan to phir ai 'hosh' hui bhi daavat-e-aab-o-havaa to kyaa hogaa"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"vahi meri naa-muraadi vahi gardish-e-zamaana miri zindagi tasavvur miri ishratein fasaana na huzuriyon ki khvaahish na visaal ki tamanna mujhe ab bhi hai taaaruf vahi un se ghaaebaana jo tujhe khayaal hotaa ye miraa na haal hotaa na tiri nigaah badli na badal sakaa zamaana ye jahaan ki ek karvaT ye khizaan kaa ek dhokaa ye havaaein bhigi bhigi ye bahaar kaa taraana koi khvaab thaa ye shaayad jo nazar mein phir rahaa hai vo miri niyaaz-mandi vo kisi kaa aastaana na tiraa suraagh paayaa na sukun kaa raaz paayaa miri zindagi thi goyaa gham-e-dil kaa ik bahaana miri aarzu-e-rusvaa na chhupegi 'hosh' mujh se ki miri nigaah mein hai mire dard kaa fasaana"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"na kaam fikr se niklaa na chal saki tadbir kisi tarah se na badli phiri hui taqdir zamir-e-dahr se andesha-e-khizaan na gayaa bahaar mein bhi zamaana hai dard ki tasvir taayyunaat mein uljhi hui hai fikr-e-hayaat mire zavaal ki tamhid hai miri taamir ab e'tiraaf-e-khataa par na is nigaah se dekh ki ho na jaae kahin mujh se phir koi taqsir zabaan-e-aam mein kahte hain kaaenaat jise haqiqat-e-gham-e-dil ki hai mukhtasar tafsir nahin khudaa ki zamin tang ai chaman vaalo kareinge aur kahin ham ab aashiyaan taamir zamaana 'hosh' badalne ko hai nai karvaT bujhe paDe hain bahut din se qalb-o-ruh-o-zamir"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"fikr-e-hasti hai na ehsaas-e-ajal ye khirad hai yaa dimaaghon kaa khalal zindagi be-kashmakash milti nahin aandhiyon se khel tufaanon mein chal chhaa rahi hain ibratein hi ibratein halqa-e-auhaam-e-hasti se nikal ye mohabbat ki rah-e-dushvaar hai Dagmagaate hain qadam naadaan sanbhal gham se hoti hai haqiqat aashkaar muztarib maujon mein khiltaa hai kanval vaqt ki aavaaz sunnaa chaahiye vaqt kaa farmaan hotaa hai aTal gham agar qismat mein ho likkhaa huaa 'hosh' kaam aate nahin sai-o-amal"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"sunaaun tumhein zindagi ki kahaani gham-e-jaavedaani gham-e-jaavedaani na samjhaa vo asraar-e-hasti na samjhaa yahaan jis ne gham ki haqiqat na jaani mohabbat mein ik dars-e-ibrat banegi miri naa-muraadi miri sakht-jaani mohabbat ki duniyaa luTi jaa rahi hai javaani aur us par kisi ki javaani tasavvur mein hain ahd-e-maazi ki baatein na vo sarkhushi hai na vo sargiraani na jaane kahaan tak ye duniyaa sunegi kisi kaa fasaana kisi ki zabaani mujhe 'hosh' ye dars gham ne diyaa hai ki hasti kaa dhokaa hai ik shaadmaani"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"mohabbat ki fitrat hai ye be-qaraari koi kyaa karegaa miri gham-gusaari vahi kaamyaabi ke asraar samjhaa mohabbat ki baazi yahaan jis ne haari tumhaare ishaaron pe chalti hai duniyaa na mukhtaar yaan hain na be-ikhtiyaari mire dil ko patthar khudaaraa na samjho nigaahein phir us par nigaahein tumhaari mohabbat ki qismat mein likhi hui hai yahi dard-mandi yahi ashk-baari zamaana miraa soz-e-gham kyaa samajhtaa ki har saans hai ik nai shoala-baari gham-e-dil sunaataa huun main 'hosh' un ko magar koi dekhe miri be-qaraari"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"mujhe yaad hain vo din jo tiri bazm mein guzaare vo jhuki jhuki nigaahein vo dabe dabe ishaare ye tiraa sukut-e-rangin ye adaa-e-be-niyaazi kahin bujh ke rah na jaaein miri ruuh ke sharaare kabhi shauq-e-zindagi thaa kabhi lutf-e-sarkhushi thaa magar ab to ji rahaa huun tiri yaad ke sahaare ye chaman chaman bahaarein ye ravaan-davaan havaaein inhein kyaa samajh sakeinge gham-e-zindagi ke maare mujhe kyaa sukun miltaa mire ashk kaise thamte ki machal rahe hain dil mein tire gham ke tez dhaare kahin hai vajud-e-saahil mujhe kaise baavar aae miri kashti-e-tamannaa na lagi kabhi kinaare shab-e-intizaar guzri miri zindagi na badli vahi 'hosh' mere aansu vahi Dubte sitaare"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"main ne ab samjhaa hai raaz-e-kaaenaat kar rahaa huun gham se taamir-e-hayaat kis tavaqqo par banaaun aashiyaan zindagi hai aur barq-e-haadisaat manzil-e-gham is qadar aasaan na thi rah gae munh dekh kar sabr-o-sabaat jo mohabbat se rahaa naa-aashnaa ho ke rah jaataa hai nang-e-kaaenaat chhaa rahi hain har taraf hairaaniyaan aql hai begaana-e-raaz-e-hayaat mere rukh par to na the gham ke nishaan tum samajh lete ho shaayad dil ki baat 'hosh' kyaa kiije hadis-e-gham bayaan kaun kah saktaa hai dil ki vaardaat"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"jaavedaan gham ahd-e-ishrat tez-paa jaane kyaa hai zindagi kaa muddaaa uTh rahe hain dam-ba-dam tufaan-e-gham ek dil hai main huun aur meraa khudaa hai gham-e-dil manzil-e-aaghaaz mein dekhiye hotaa hai ab anjaam kyaa haal-e-dil par aap kyon hain nauhagar main ne paai hai mohabbat ki sazaa Dubti hai meri kashti Duub jaae kaun ho minnat-pazir-e-naakhudaa aap bhi aakhir na mere ho sake aur ab kis se ho ummid-e-vafaa 'hosh' main naa-aashnaa-e-intiqaam apne dushman ko bhi detaa huun duaa"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"'hosh' us par kisi kaa bas na chalaa vaqt jab aa gayaa to phir na Talaa soz-e-baatin ke hain ye sab jalve aag raushan hai le charaagh jalaa na chalaa dil pe zindagi kaa fareb sakht lohaa is aanch se na galaa kah rahaa thaa gadaa-e-raah-nashin jo bhalaa thaa huaa usi kaa bhalaa vo miraa muddaaa samajh ke rahe zabt-e-fariyaad se na kaam chalaa raaz-e-hasti na khul sakaa us par dil jo apni hi aag mein na jalaa kyaa bahaaron kaa eatibaar ai 'hosh' har-nafas taak mein hai barq-e-balaa"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"aql-o-din hai rah-e-junun ke khilaaf kar rahaa huun harim-e-dil kaa tavaaf vaqt kaa saath chhoDne vaale vaqt kartaa nahin qusur muaaf aur kuchh hai ravish zamaane ki ab na ham vo na sirat-e-aslaaf sharh-e-gham to koi gunaah na thi mujh se kyon ho gayaa zamaana khilaaf main mohabbat mein be-qaraar sahi hai ye kis ki khataa qusur muaaf muskuraati hui nazar pe na jaa mukhlison ke bhi dil nahin hain saaf rasm-o-aain kaa eatibaar nahin ‘hosh’ duniyaa hai dushman-e-insaaf"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami
Quote
"vahi subh kaa dhundhalkaa vahi manzilein vahi shab koi kyaa samajh sakegaa gham-e-zindagi kaa matlab miri be-qaraariyaan hain miri zindagi kaa haasil yahi maslak-e-mohabbat yahi ahl-e-dil kaa mazhab mire gham ki pursishon se unhein ijtinaab kyon hai vo samajh gae hain shaayad miri har nazar kaa matlab gham-e-dil hai raaz-e-hasti na bulandiyaan na pasti ye haqiqatein to samjhaa dil-e-be-khabar magar kab na miri khizaan muqarrar na miri bahaar qaaem jo mujhe mili hai ye bhi koi zindagi hai yaarab main hadis-e-gham sunaaun main vafaa kaa saaz chheDun jo zabaan na khul saki to jo kisi ne si diye lab koi 'hosh' kah sakaa hai gham-e-dil kabhi zabaan se vo savaal kar rahe hain main kahun to kyaa kahun ab"
Hosh BilgramiHosh Bilgrami