SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHumaira Rahat(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"havaa ke saath ye kaisaa moaamla huaa hai bujhaa chuki thi jise vo diyaa jalaa huaa hai huzur aap koi faisla karein to sahi hain sar jhuke hue darbaar bhi lagaa huaa hai khaDe hain saamne kab se magar nahin paDhte vo ek lafz jo divaar par likhaa huaa hai hai kis kaa aks jo dekhaa hai aaine se alag ye kaisaa naqsh hai jo ruuh par banaa huaa hai ye kis kaa khvaab hai taabir ke taaaqub mein ye kaisaa ashk hai jo khaak mein milaa huaa hai ye kis ki yaad ki baarish mein bhigtaa hai badan ye kaisaa phuul sar-e-shaakh-e-jaan khilaa huaa hai sitaara TuTte dekhaa to Dar gai 'raahat' khabar na thi yahi taqdir mein likhaa huaa hai"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"main aab-e-ishq mein hal ho gai huun adhuri thi mukammal ho gai huun palaT kar phir nahin aataa kabhi jo main vo guzraa huaa kal ho gai huun bahut taakhir se paayaa hai khud ko main apne sabr kaa phal ho gai huun mili hai ishq ki saughaat jab se udaasi teraa aanchal ho gai huun sulajhne se ulajhti jaa rahi huun main apni zulf kaa bal ho gai huun barasti hai jo be-mausam hi aksar usi baarish mein jal thal ho gai huun miri khvaahish hai suraj chhu ke dekhun mujhe lagtaa hai paagal ho gai huun"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"fasaana ab koi anjaam paanaa chaahtaa hai taalluq TuTne ko ik bahaana chaahtaa hai jahaan ik shakhs bhi miltaa nahin hai chaahne se vahaan ye dil hatheli par zamaana chaahtaa hai mujhe samjhaa rahi hai aankh ki tahrir us ki vo aadhe raaste se lauT jaanaa chaahtaa hai ye laazim hai ki aankhein daan kar de ishq ko vo jo apne khvaab ki taabir paanaa chaahtaa hai bahut uktaa gayaa hai be-sukuni se vo apni samundar jhiil ke nazdik aanaa chaahtaa hai vo mujh ko aazmaataa hi rahaa hai zindagi bhar magar ye dil ab us ko aazmaanaa chaahtaa hai use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi sukhan se gar koi rishta nibhaanaa chaahtaa hai"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"misaal-e-khaak kahin par bikhar ke dekhte hain qaraar mar ke milegaa to mar ke dekhte hain sunaa hai khvaab mukammal kabhi nahin hote sunaa hai ishq khataa hai so kar ke dekhte hain kisi ki aankh mein Dhal jaataa hai hamaaraa aks jab aaine mein kabhi ban sanvar ke dekhte hain hamaare ishq ki miraas hai bas ek hi khvaab to aao ham use taabir kar ke dekhte hain sivaae khaak ke kuchh bhi nazar nahin aataa zamin pe jab bhi sitaare utar ke dekhte hain ye hukm hai ki zamin-e-'faraaz' mein likkhein so is zamin mein ham paanv dhar ke dekhte hain"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"kahaani ko mukammal jo kare vo baab uThaa laai main us ki aankh ke saahil se apne khvaab uThaa laai khushi meri gavaara thi na qismat ko na duniyaa ko so main kuchh gham baraa-e-khaatir-e-ahbaab uThaa laai hamesha ki tarah sar ko jhukaayaa us ki khvaahish par andheraa khud liyaa us ke liye mahtaab uThaa laai sameTe us ke aansu apne aanchal mein to jaane kyuun mujhe aisaa lagaa kuchh gauhar-e-naayaab uThaa laai mayassar thaa na koi khvaab in aankhon mein rakhne ko so main in ke liye ashkon kaa ik sailaab uThaa laai"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"charaagh haath mein thaa tiir bhi kamaan mein thaa main phir bhi haar gai tu jo darmiyaan mein thaa main aasmaan ki hadon ko bhi paar kar leti magar vo khauf jo haael meri uDaan mein thaa thi zakhm zakhm magar khud ko TuTne na diyaa samundaron se sivaa hausla chaTaan mein thaa badal bhi saktaa hai akhbaar ki khabar ki tarah tiraa ye vasf bhalaa kab mire gumaan mein thaa akelaa chhoD diyaa dhuup mein safar ke liye us ek shakhs ne jo dil ke saaebaan mein thaa yaqin tujh pe bhalaa kis tarah main kar leti tazaad had se ziyaada tire bayaan mein thaa"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"taalluq ki nai ik rasm ab ijaad karnaa hai na us ko bhulnaa hai aur na us ko yaad karnaa hai zabaanein kaT gaiin to kyaa salaamat ungliyaan to hain dar o divaar pe likh do tumhein fariyaad karnaa hai sitaara khush-gumaani kaa sajaayaa hai hatheli par kisi surat hamein to apne dil ko shaad karnaa hai banaa kar ek ghar dil ki zamin par us ki yaadon kaa kabhi aabaad karnaa hai kabhi barbaad karnaa hai taqaazaa vaqt kaa ye hai na pichhe muD ke dekhein ham so ham ko vaqt ke is faisle par saad karnaa hai"
Humaira RahatHumaira Rahat
Quote
"baarish ke qatre ke dukh se naa-vaaqif ho tum hanste chehre ke dukh se naa-vaaqif ho tum ne sirf bichhaD jaane kaa karb sahaa hai paa kar kho dene ke dukh se naa-vaaqif ho ek hi chhat ke niche rahte hain ham lekin tum mere lahje ke dukh se naa-vaaqif ho saath kisi ke rah kar jo tanhaa kaTtaa hai tum aise lamhe ke dukh se naa-vaaqif ho haathon ki chuDi ki zabaan samajh lete ho phaile hue gajre ke dukh se naa-vaaqif ho jo manzil tak jaa ke aur kahin muD jaae tum aise raste ke dukh se naa-vaaqif ho"
Humaira RahatHumaira Rahat