SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"un ko ehsaas-e-gham nahin hotaa kyon ye ehsaas kam nahin hotaa vaqt likhtaa hai sab ki taqdirein haath mein go qalam nahin hotaa main huun unvaan us fasaane kaa jo ki sarf-e-qalam nahin hotaa faaeda kyaa hai aise rone se un kaa daaman jo nam nahin hotaa tum mire saath saath chalte ho kyon ye ehsaas kam nahin hotaa sab pe rahmat tiri barasti hai ek ham par karam nahin hotaa muskuraanaa bhi fan hai duniyaa mein kis ki duniyaa mein gham nahin hotaa sar jhukaate nahin hain ham jis jaa teraa naqsh-e-qadam nahin hotaa ek vo dil ki TuuT jaate hain ek ye sar ki kham nahin hotaa un ke gham se jo dosti hai 'sahar' ab kisi gham kaa gham nahin hotaa"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"shab-e-firaaq ko yuun jagmagaa rahaa huun main bujhaa ke sham' ko ab dil jalaa rahaa huun khayaal-e-yaar ko dil mein basaa rahaa huun main tasavvuraat ki duniyaa sajaa rahaa huun main gham-e-hayaat gham-e-dil kaa lutf paane ko ajal ke haath se daaman chhuDaa rahaa huun main 'ajib haal hai shaakhon se phuul jhaDte hain bhari bahaar mein aansu bahaa rahaa huun main ye raaz faash na ho jaae aansuon se kahin tumhaare gham ko tumhin se chhupaa rahaa huun main na lab pe koi shikaayat na dil hai fariyaadi tumhaari bazm se khaamosh jaa rahaa huun main uThaao saaz milaao dilon ke taaron ko nai hayaat ke naghme sunaa rahaa huun main visaal-o-hijr kaa 'aalam 'ajib 'aalam hai fasaana shab kaa 'sahar' ko sunaa huun main"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"nigaah-o-dil ko jalaane kaa hausla to karo uThaa ke parde haqiqat kaa saamnaa to karo bisaat-e-raqs pe naghmon se khelne vaalo kisi gharib ki fariyaad bhi sunaa to karo kisi ke aib tumhein phir nazar na aaeinge khud apne aap ko tafsil se paDhaa to karo vo zindagi ke liye ho ki ho ajal ke liye hamaare haq mein kabhi tum koi duaa to karo dikhaai deinge hamein ham tumhaare chehre mein nazar ke saamne ik baar aaina to karo majaaz khud hi haqiqat kaa ruup Dhaalegaa ye shart hai ki haq-e-bandagi adaa to karo hamaari aankh mein suraj ko DhunDne vaalo tum apne dil ko ujaalon se aashnaa to karo main kaaenaat ki har shai ko chhoD saktaa huun tum apne dard-e-mohabbat se aashnaa to karo bahut tavil sahi shab tumhaari zulfon ki 'sahar' ko in ke ujaalon se aashnaa to karo"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"mujh ko kahtaa hai muskuraane ko jaane kyaa ho gayaa zamaane ko mujh ko tufaan kyaa Dubo saktaa dil hi chaahaa thaa Duub jaane ko apni hi daastaan samajh baiThi sun ke duniyaa mire fasaane ko bazm mein teri ham chale aae az-sar-e-nau fareb khaane ko ham jhukaa kar jabin-e-shauq apni khud bulaa leinge aastaane ko ham chhiDakte rahe lahu apnaa aashiyaan mein bahaar laane ko tiri yaadon ne rah-ravi ki hai jab bhi chaahaa tujhe bhulaane ko ashk ban kar charaagh aate hain miri palkon pe jagmagaane ko main sahar ban ke aa gayaa huun 'sahar' dahr se tirgi miTaane ko"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"nae shishe mein ab Dhal jaae har rasm-e-kuhan saaqi tujhe duniyaa badalti hai mujhe ye anjuman saaqi vahaan kis kaam ke ye saaghar-o-minaa-o-paimaana jahaan chaltaa hai teri mast aankhon kaa chalan saaqi na aankh uTThi na mai chhalki na saaghar daur mein aaya mujhe detaa rahaa dhoke ye teraa baankpan saaqi likhaa hai naam meraa yuun to har ik shaakh par lekin na mere phuul hain saaqi na meraa hai chaman saaqi haTaa saaghar na mere saamne se is ko rahne de ki is se jhaankti hai mere khvaabon ki dulhan saaqi mazaa jab hai miri masti ko tu do-aatisha kar de nigaahon se nigaahon kaa bhi hone de milan saaqi zaraa bhigi hui zulfon ki do ik buund Tapkaa de sulagtaa hai na jaane kab se meraa tan-badan saaqi tiri zulfon ke saae mein Dhali raaton kaa kyaa kahnaa magar kuchh aur kahtaa hai 'sahar' kaa baankpan saaqi"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"lab-o-nazar ko tire pyaar ki hansi na mili kare jo dil mein ujaalaa vo raushni na mili hazaar baar chaman se bahaar guzri hai ye aur baat hai phulon ko taazgi na mili ye kaisi raat hai kis shahr ke ye raste hain jigar kaa khuun jalaa bhi to raushni na mili vahaan to kaT gaiin aish-o-nishaat mein umrein yahaan to ek masarrat ki saans bhi na mili har ek phuul mein paayaa tiraa hi rang-o-jamaal koi bhi shakl gulistaan mein ajnabi na mili tumhaare ruup ki ye chaandni bhi kyaa kam hai nahin ye fikr mujhe raushni mili na mili har ek raah ne duuri baDhaai manzil ki dikhaae raah jo manzil ki vo kali na mili hamaare paanv ki zanjir to bani kaDiyaan dilon ko joD de aisi koi kaDi na mili tamaam umr tarasti rahi nigaah-e-'sahar' ujaale din ke mile shab ki chaandni na mili"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"zindagi meri kabhi gham se judaa ho na saki dard baDhtaa hi gayaa aur davaa ho na saki zindagi main ne bahut naaz uThaae tere ye alag baat ki tujh se hi vafaa ho na saki jaane kis daur mein kyaa jurm kiyaa thaa ham ne zindagi biit gai khatm sazaa na ho saki phuul hi phuul hain har shaakh-e-gulistaan pe magar meri taqdir hi afsos rasaa ho na saki saath sab chhoD gae hijr mein meraa lekin kyon tiri yaad mire dil se judaa ho na saki aadmi TuuT gayaa justuju karte karte zindagi daam-e-musibat se rihaa ho na saki bichh gai dhuup har ik samt ujaalon ki magar duur dil se mire zulmat ki ghaTaa ho na saki sochtaa rahtaa huun aksar shab-e-tanhaai mein zindagi kyon miri marhun-e-duaa ho na saki kyaa ajab chiiz hai izhaar-e-mohabbat bhi 'sahar' baat lamhon ki thi sadiyon mein adaa ho na saki"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri vo kyaa gae ki gai saath zindagi meri tiri khushi se to baDh kar nahin khushi meri tiri khushi hi pe sadqe hai zindagi meri banaa rahaa thaa main tasvir gham ke maaron ki ye kyaa huaa ki vo tasvir ban gai meri zamaana kitnaa hai maanus meri haalat se badal badal ke kahaani likhi gai meri vo kyaa nibhaaeinge ab khaak dard kaa rishta unhein to lagti hai surat bhi ajnabi meri sabhi the Duube hue apne jaam-o-saaghar mein koi to dekhtaa aankhon ki tishnagi meri khayaal aap kaa aaya to bhar gaiin aankhein hayaat kitni hai hassaas aaj bhi meri abhi se aaina kyon rakh diyaa mire aage abhi to vaqt ne dekhi nahin chhabi meri main dekhtaa rahaa aankhon se apni barbaadi kisi ne luuT li duniyaa se har khushi meri chalo khayaal to aaya unhein kabhi meraa ye aur baat ki hasrat nikal gai meri main is fareb mein jiitaa rahaa 'sahar' ab tak ki un ke vaaste sab kuchh hai zindagi meri"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"miraa gham-gusaar koi nahin kisi lab pe aai du'aa nahin mire chaaraagar tire paas bhi mire dard-e-dil ki davaa nahin kabhi saath saath hai tu mire kabhi duur tak bhi piyaa nahin mire ham-safar tiri dosti kaa ye raaz kyaa hai khulaa nahin tiri aarzu miri zindagi tiri justuju miri bandagi tiri yaad meri namaaz hai koi kaam is ke sivaa nahin vahi be-khudi vahi sarkhushi vahi be-hoshi vahi gumrahi mujhe aap apni talaash hai main kahaan huun mujh ko pataa nahin ye to apnaa apnaa khulus hai ye to apnaa apnaa suluk hai koi chaahne se giraa nahin koi puchhne se uThaa nahin tujhe maangne se milegaa kyaa tiraa sar jhukaane se hogaa kyaa ye to pattharon kaa jahaan hai yahaan koi teraa khudaa nahin main khizaan-nasib sadaa rahaa main bhari bahaar mein luT gayaa mujhe raas aai na zindagi mujhe mil ke kuchh bhi milaa nahin na to ab khushi ki talaash hai na sukun ki mujhe aarzu yahi zindagi kaa hai faisla ki khushi bhi gham ke sivaa nahin vo nafas nafas mein khalish tiri vo tire khulus ki be-rukhi tujhe har qadam yahi khauf hai tiraa gham to mujh se judaa nahin vahi dil mein hai vahi lab pe hai vahi aansuon mein ravaan-davaan use kaise bhulun 'sahar' bataa jo mire nafas se judaa nahin"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"vaqt apnaa ho to tufaan-o-balaa kuchh bhi nahin barq girne ko giri aur huaa kuchh bhi nahin main ne ik umr guzaari hai tiri furqat mein kyaa muqaddar mein mire is ke sivaa kuchh bhi nahin sirf haathon ko uThaane kaa natija kyaa hai ho saliqa na duaa kaa to duaa kuchh bhi nahin jaane bhar jaate hain kis tarah gulon se daaman mere daaman mein to kaanTon ke sivaa kuchh bhi nahin baat zakhmon ki kaho karb ki tashrih karo ab mohabbat ke fasaane mein rahaa kuchh bhi nahin dard-o-gham aah-o-fughaan soz-e-nihaan ashk ravaan dosto is ke sivaa meraa pataa kuchh bhi nahin chand sikkon ke liye shauq se bik jaate hain aaj ke daur mein insaan ki anaa kuchh bhi nahin raushni jitni thi sab luuT li andhiyaaron ne ab ujaalon mein 'sahar' aur bachaa kuchh bhi nahin"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar
Quote
"jab tasavvur tiraa nahin hotaa zindagi mein maza nahin hotaa dard dil kaa chhupaae rakhne ko muskuraanaa buraa nahin hotaa zindagi ho ke rah gai bojhal ab koi haadsa nahin hotaa sher likhtaa huun khuun se phir bhi dard kaa haq adaa nahin hotaa umr guzri hamein safar karte faasla kam zaraa nahin hotaa yaad-e-maazi se kyon ulajhte ho is se kuchh faaeda nahin hotaa zindagi bojh ban gai jab se khauf gham kaa zaraa nahin hotaa ai 'sahar' aai ye sahar kaisi ki ujaalaa zaraa nahin hotaa"
Jagjeewan Lal Asthana SaharJagjeewan Lal Asthana Sahar