Quote
"aati hai zindagi mein khizaan bhi bahaar bhi sehn-e-chaman mein phuul bhi hote hain khaar bhi naaraazgi na ho to mohabbat hai be-maza hasti khushi bhi gham bhi hai nafrat bhi pyaar bhi be-e'tinaaiyon mein bhi hai chaashni kaa lutf hotaa hai iltifaat kabhi naagavaar bhi chhoDaa na khauf-e-hijr ne daaman tamaam raat aaghosh-e-pur-sukun mein thaa dil be-qaraar bhi armaan kaa khuun samaaj ki talvaar ne kiyaa majbur maslahat se huaa ikhtiyaar bhi mehnat ki sakht dhuup mein pipal ki chhaanv mein hai dasht-e-gham mein abr-e-karam ki phuvaar bhi har-chand be-daregh bahaa khun-e-aarzu lekin huaa hai daaman-e-dil laala-zaar bhi ganjina-e-sifaat hai us ki har ek baat surat bhi guftugu bhi adaa bhi shiaar bhi angur ke ye baagh lab-e-ju ye chahchahe hogaa yahin kahin pe hamaaraa mazaar bhi 'jaami' pe kyaa banegi khudaa jaane hashr mein jannat ki aarzu hai gunaahon se pyaar bhi"
J
Jami Rudaulvi






