SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"adaaein tum banaa lenaa ishaare main banaaungaa tumhaare phul-jazbon ko sharaare main banaaungaa tumhaaraa saath shaamil hai to phir tum dekhte jaao zamin-o-aasmaan ke ab kinaare main banaaungaa agar tum faisla kar lo mohabbat oDh lene kaa to phir us shaal ke uupar sitaare main banaaungaa tumhaaraa kaam itnaa hai faqat kaajal lagaa lenaa tumhaari aankh ki khaatir nazaare main banaaungaa tumhein bas muskuraanaa hai tumhein bas gungunaanaa hai mohabbat ke liye naghme to saare main banaaungaa agar us ki ye khvaahish ho ki ju-e-shir laazim hai faqat ik baar 'khaalid' vo pukaare main banaaungaa"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani
Quote
"hue jo saath nazaaron ne rashk karnaa hai hamaare bakht pe yaaron ne rashk karnaa hai tumhaaraa haath agar haath mein rahaa yunhi khizaan-ruton pe bahaaron ne rashk karnaa hai ham is ke zarron mein chaahat kaa nuur bhar deinge hamaare thal pe sitaaron ne rashk karnaa hai lagegaa phuul ko rakkhaa huaa hai kaandhon par uThaa ke Doli kahaaron ne rashk karnaa hai hamaare sher mohabbat kaa istiaara hain so ek do nahin saaron ne rashk karnaa hai bahaa ke laane hain dariyaa ne kitne phuul magar kisi kisi pe kinaaron ne rashk karnaa hai main jang haar ke jitungaa is tarah 'khaalid' sabhi piyaadon savaaron ne rashk karnaa hai"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani
Quote
"ye jo zahr hai tire qurb kaa mire rom rom utaar de miri daastaan ho mo'atabar mujhe apne ishq mein maar de kabhi apne jism ko mai banaa mujhe qatra qatra pilaae jaa miri aankh roz-e-jazaa khule koi is tarah kaa khumaar de tiri nisbaton se juDaa rahun tire raaston mein paDaa rahun koi aisi hasrat-e-be-bahaa miri dhaDkanon se guzaar de mire dostaa mire kibriyaa miri laghzishon se ho darguzar miri pastiyon ko uruuj de mire ujDe dil ko sanvaar de miri aarzuon ke siip kaa kisi aab-e-naisaan se mel kar mujhe aashnaa-e-visaal kar miri bekali ko qaraar de yahi apne shauq se kah diyaa kabhi ek pal nahin sochnaa jahaan naqsh-e-paa mile yaar kaa ye mataa-e-jaan vahin vaar de"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani
Quote
"kis mohabbat se ye hijrat ke nishaan dekhti hai raunaq-e-duniyaa miri aankh jahaan dekhti hai niind divaar pe baiThi hai parinde ki tarah mustaqil basne se pahle vo makaan dekhti hai koi chingaari tire aane se shaayad bhaDke raakh hoti hui ummid dhuaan dekhti hai dil kaa ye shahr bhi lahore huaa jaataa hai is jahaangir ko ik nuur jahaan dekhti hai aankh to aankh hai phir khvaab sajaa leti hai ye miri Dhalti hui umr kahaan dekhti hai hazrat-e-josh ke divaan kaa jab zikr chale kitni hasrat se hamein urdu zabaan dekhti hai ab kisi moD pe rukne kaa tasavvur bhi muhaal meri vahshat tiri majburi kahaan dekhti hai"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani
Quote
"lipaT ke soch se nindein haraam karti hai tamaam shab tiri hasrat kalaam karti hai hami vo ilm ke raushan charaagh hain jin ko havaa bujhaati nahin hai salaam karti hai kisi bhi taur sikhaati nahin hai aazaadi mire huzur mohabbat ghulaam karti hai ye sar-ba-sajda kahaa nek-dil tavaaif ne khudaayaa shukr ki beTi bhi kaam karti hai fanaa ki jhiil mein jis tarah vaqt rahtaa hai kuchh is tarah se vo mujh mein qiyaam karti hai charaagh-e-muflis-o-bebas kaa haal ho jaise hamaare saath kuchh aisaa hi shaam karti hai havaa-o-hirs ki laanat kaa kyaa karein 'khaalid' tiri talab ko saliqe se raam karti hai"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani
Quote
"isi ne boe shukuk dil mein isi chanbeli kaa naam dukh hai tumhaare pahlu se lag ke baiThi hui saheli kaa naam dukh hai vahi na jis ki makin laDki ne teri basti mein ishq boyaa mujhe bhi darshan karaao us ke ki jis haveli kaa naam dukh hai tum in lakiron mein ik khushi bhi talaash kar lo to moajiza hai ki main to bachpan se jaantaa huun miri hatheli kaa naam dukh hai har ek rishta har ek jazba vafaa mohabbat khulus sab kuchh main aur kyaa kyaa bataaun hattaa ki yaar-beli kaa naam dukh hai"
Khalid Nadeem ShaaniKhalid Nadeem Shaani