SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahmood Beg Saaz(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gham-e-ulfat ne lutf-e-zindagi ki aabru rakh li ye vo dushman hai jis ne dosti ki aabru rakh li siyah zulfon ne lahraa kar nikhaaraa husn chehre kaa andheron ne bikhar kar raushni ki aabru rakh li hansi aa to rahi hai dil ke zakhmon ko ye kyaa kam hai tire bakhshe hue gham ne khushi ki aabru rakh li nigaah-e-naaz ke andaaz to dekho ki chupke se kisi ki aabru le li kisi ki aabru rakh li ye meraa zarf hai jo main ne kaDve ghunT pi kar bhi sar-e-mahfil tiri saaqi-gari ki aabru rakh li na aati rang par ye bazm-e-hasti vo to ye kaise ki saaz-e-dil ne naghma-parvari ki aabru rakh li"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"apne hi ghar mein yuun hai mujhe apne ghar ki qaid darkaar jaise chhat ko ho divaar-o-dar ki qaid yuun zindagi ke saath rahi umr bhar ki qaid laazim ho jaise bahr-nazaara nazar ki qaid aazaad ho ke apnaa asar DhunDhti phire manzur gar nahin hai duaa ko asar ki qaid is dahr ke azal se ye lail-o-nahaar hain suraj ko din ki chaand ko hai raat-bhar ki qaid aazaad hain parind to parvaaz ke liye ye to bataao hai ki nahin baal-o-par ki qaid ai saaz kyuun na maut ko aavaaz dijiye gar aap ko qubul nahin umr-bhar ki qaid"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"jab aql ne kar Daalaa jazbaat se samjhauta ham kyuun na karein apne haalaat se samjhauta jiine ke liye aakhir karnaa hi paDaa mujh ko din raat ki gardish mein din raat se samjhauta haalaat badalne mein kuchh der nahin lagti behtar hai abhi kar lein haalaat se samjhauta jab us ne jhalak dekhi pasti mein bulandi ki suraj ne kiyaa baDh kar zarraat se samjhauta aasaan nahin apni auqaat samajh lenaa mushkil hai bahut apni auqaat se samjhauta ki yuun to mire nafs-e-sarkash ne bahut koshish TuuTaa na mire sar kaa sajdaat se samjhauta har samt fazaaon se barse to lahu barse ye kis ne kiyaa chhup kar barsaat se samjhauta jab dil ke taqaazon ko khud aql hi Thukraa de tab ho bhi to kaise ho jazbaat se samjhauta haalaat ne samjhauta ai 'saaz' kiyaa mujh se main ne na kiyaa apne haalaat se samjhauta"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"din ke siine pe raat kaa patthar kis ke hai iltifaat kaa patthar rok detaa hai baDhte qadmon ko ho ke haail hayaat kaa patthar sang-e-buniyaad hai mohabbat kaa yaa miri kaaenaat kaa patthar mujh ko duniyaa ne aazmaayaa hai pheink kar haadsaat kaa patthar TukDe TukDe sifaat ki murat reza reza hai zaat kaa patthar hai ye imdaad-e-baahami kaa bhavan paanch ki iinT saat kaa patthar kyaa uThaaeinge naa-tavaan kaandhe dahr ke iltifaat kaa patthar haath aa jaaoge range haathon pheink do apne haath kaa patthar hone vaalaa hai nazr aandhi ki ik na ik din hayaat kaa patthar 'saaz' kul vaardaat kah degaa mauqa-e-vaardaat kaa patthar"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"jo apni zabaan par hai qissa paraayaa vo hai teraa apnaa nishaana paraayaa zaraa koi ye dhuup chhaanv to dekhe kaDi dhuup meri to saaya paraayaa kabhi dab gae bojh se aap apne kabhi bojh kaandhe pe laadaa paraayaa taajjub hai gangaa bahi bhi to ulTi paraayaa to apnaa hai apnaa paraayaa na jaane koi keinchuli kab badal le nigaahon kaa dhokaa hai apnaa-paraayaa usi kaa main ho kar rahaa zindagi bhar mujhe umr bhar jis ne samjhaa paraayaa mujhe 'saaz' apnon ne dekhaa to bole ye apnaa nahin hai paraayaa paraayaa"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"mauj ubhri aa gai saahil ke haath main chalaa aur jaa lagaa manzil ke haath ik taDap jo aa gai bismil ke haath kyon na chume baDh ke vo bismil ke haath dar-haqiqat maut kaa paighaam hai naa-khudaai aur naa-qaabil ke haath haath chhoTe paD gae insaaf ke itne lambe the mire qaatil ke haath ghonT diije qaabiliyyat kaa galaa kijiye mazbut naa-qaabil ke haath naqsh main ne kar diye naqsh-e-qadam ek daulat aa gai manzil ke haath is tarah phaile rahe fitna fasaad jis tarah phaile rahein saail ke haath kyaa bataaun kaisi durgat ban gai dil ki mere haath meri dil ke haath 'saaz' aasaani mire haath aa gai aa gayaa jis vaqt mein mushkil ke haath"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"bharpur mohabbat kaa elaan mukammal hai us nim-nigaahi kaa farmaan mukammal hai yaa dushman-e-jaan mujh par sach-much hai karam-farmaa yaa meri tabaahi kaa saamaan mukammal hai kis chaav se ik basti jo ham ne basaai thi dekhaa thaa vahi basti viraan mukammal hai zakhmon pe mire tu ne jis tarah namak chhiDkaa is niim inaayat kaa ehsaan mukammal hai har moD pe miltaa hai allaah kaa vo banda qaalib mein jo insaan ke shaitaan mukammal hai ai 'saaz' mire dil mein ab jaan nahin baaqi go khuun kaa rag rag mein dauraan mukammal hai"
M
Mahmood Beg Saaz
Quote
"rabaab-e-dil kaa har ik taar chhin lo mujh se jo ho sake to miraa pyaar chhin lo mujh se ummid-o-hasrat-o-armaan-o-yaas-o-ranj-o-alam yahi hain mere madad-gaar chhin lo mujh se qadam milaa ke chalo raah-e-ishq mein varna miraa chalan miri raftaar chhin lo mujh se mujhe nahin hai gavaaraa navaazish-e-bejaa miri mohabbat-e-khuddaar chhin lo mujh se tumhein qasam hai masihaa bajaae jaan-bakhshi miri hayaat-e-dil-aazaar chhin lo mujh se tum apne lab ke liye mere zakhm-e-dil ki hansi khushi se ai mire sarkaar chhin lo mujh se agar jahaan mein ye aalam hai sard-mehri kaa to meri garmi-e-guftaar chhin lo mujh se tumhaare dil mein bhi ghar kar chuke hon chupke se to aao 'saaz' ke ashaar chhin lo mujh se"
M
Mahmood Beg Saaz