Quote
"dariyaa hain phir bhi milte nahin mujh se yaar log jurat kahaan ki sahraa se hon ham-kanaar log jaadu fazaa kaa thaa ki havaa mein milaa thaa zahr patthar hue jahaan the vahin be-shumaar log ab saaya o samar ki tavaqqo kahaan ruke sukhe hue shajar hain sar-e-rahguzaar log dahshat khuli fazaa ki qayaamat se kam na thi girte hue makaanon mein aa baiThe yaar log ik dusre kaa haal nahin puchhtaa koi ik dusre ki maut pe hain sharmsaar log suraj chaDhaa to pighli bahut choTiyon ki barf aandhi chali to ukhDe bahut saaya-daar log"







