Quote
"khulus-e-taamir ho jo shaamil sitam kaa jazba buraa nahin hai vafaa kareinge vo kyaa kisi se jinhein shuur-e-jafaa nahin hai tiri samajh mein na aa sakegi kisi ke ashkon ki qadr-o-qimat abhi hai naa-aashnaa-e-gham tu abhi tiraa dil dukhaa nahin hai vafaa ki azmat se aashnaa hain kahein to rudaad-e-gham kahein kyaa tujhe nadaamat ho jis ko sun kar vo daastaan-e-vafaa nahin hai khudaa-na-karda tumhaare dil ko koi dukhaae to kyaa karoge nigaahein tum ne to aisi pherin ki jaise meraa khudaa nahin hai vo khoyaa khoyaa saa un kaa aalam labon pe halki si muskuraahaT adaa ye un ki 'matin' jaise sunaa bhi hai aur sunaa nahin hai"







