Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Meer Soz
apne naale mein gar asar hotaa
qatra-e-ashk bhi guhar hotaa
jin ke naame ki hai pahunch tujh tak
kaash main un kaa naama-bar hotaa
· · ·
Meer Soz
hamein kaun puchhe hai saahibo na savaal mein na javaab mein
na to koi aadmi jaane hai na hisaab mein na kitaab mein
na to ilm apne mein hai yahaan ki khudaa ne bhejaa hai kis liye
isi ko jo kahte hain zindagi so to jism ke hai azaab mein
· · ·
Meer Soz
jis kaa tujh saa habib hovegaa
kaun us kaa raqib hovegaa
be-vatan be-rafiq be-asbaab
kaun aisaa gharib hovegaa
· · ·
Meer Soz
ghamza-e-chashm sharmsaar kahaan
sar to haazir hai tegh-e-yaar kahaan
gul bhi kartaa hai chaak apnaa jaib
par garebaan saa taar taar kahaan
· · ·
Meer Soz
ushshaaq tere sab the par zaar thaa so main thaa
jag ke kharaaba andar ik khvaar thaa so main thaa
daakhil shahidon mein to lohu lagaa ke sab the
shamshir-e-naaz se pur-afgaar thaa so main thaa
· · ·
Meer Soz
kaabe hi kaa ab qasd ye gumraah karegaa
jo tum se butaan hogaa so allaah karegaa
zulfon se paDaa tuul mein ab ishq kaa jhagDaa
khat aan ke ye majhla kotaah karegaa
· · ·
Meer Soz
ye teraa ishq kab kaa aashnaa thaa
kahaan kaa jaan ko meri dharaa thaa
vo saaat kaun si thi yaa ilaahi
ki jis saaat do-chaar us se huaa thaa
· · ·
Meer Soz
jitnaa koi tujh se yaar hogaa
utnaa hi kharaab o khvaar hogaa
har roz ho roz-e-id to bhi
tu mujh se na ham-kanaar hogaa
· · ·
Meer Soz
tu ham se jo ham-sharaab hogaa
bahuton kaa jigar kabaab hogaa
DhunDhegaa sahaab chhupne ko mehr
jis roz vo be-naqaab hogaa
· · ·
Meer Soz
aah main be-qaraar kis kaa huun
kushta-e-intizaar kis kaa huun
tiir saa dil mein kuchh khaTaktaa hai
dekhiyo main shikaar kis kaa huun
· · ·
Meer Soz
agar main jaantaa hai ishq mein dhaDkaa judaai kaa
to jiite ji na letaa naam hargiz aashnaai kaa
jo aashiq saaf hain dil se unhin ko qatl karte hain
baDaa charchaa hai maashuqon mein aashiq-aazmaai kaa
· · ·
Meer Soz
tiraa ham ne jis ko talabgaar dekhaa
use apni hasti se be-zaar dekhaa
adaa hi ki hasrat mein sab mar gae sach
tajalli ko kis ne ba-takraar dekhaa
· · ·
Meer Soz
paas rah kar dekhnaa teraa baDaa armaan hai
mujh ko sab mushkil hai pyaare tujh ko sab aasaan hai
ai mire badmast mat kar tu ghazaalon kaa shikaar
le na mere dil ko chakh ye zor hi biryaan hai
· · ·
Meer Soz
naaseho dil kis kane hai kis ko samjhaate ho tum
kyuun divaane ho gae ho jaan kyuun khaate ho tum
mujh se kahte ho ki main hargiz nahin piitaa sharaab
main tumhaaraa dost yaa dushman ki sharmaate ho tum
· · ·
Meer Soz
jo ham se tu milaa karegaa
banda tujh ko duaa karegaa
bosa tu de kabhu miri jaan
maulaa tiraa bhalaa karegaa
· · ·
Meer Soz
mohabbat munh pe karnaa aur dil mein bevafaai hai
ye aaina yahaan kahtaa hai kaisi aashnaai hai
bhalaa bosa ham us se aaj maangeinge kisi Dhab se
tavaqqo to nahin lekin ye taale aazmaai hai
· · ·
Meer Soz
husn ki gar zakaat paaun main
to bhikaari tiraa kahaaun main
ek bosa do dusraa tauba
phir jo maangun to maar khaaun main
· · ·







