SHAWORDS

ghamza-e-chashm sharmsaar kahaan — Meer Soz

HomeMeer SozGhazal
"ghamza-e-chashm sharmsaar kahaan sar to haazir hai tegh-e-yaar kahaan gul bhi kartaa hai chaak apnaa jaib par garebaan saa taar taar kahaan ho ghazaalon ko us se ham-chashmi tikhi chitvan kahaan khumaar kahaan andalibon ne gul ko gher liyaa ek jevDaa kahaan hazaar kahaan ek din ek shakhs ne puchhaa miir saahab tumhaaraa yaar kahaan main ne us se kahaa ki sun bhaai ab mujhe us talak hai baar kahaan gaah-gaahe salaam kartaa hai par vo baatein kahaan vo pyaar kahaan zindagi tak sitam to sah le 'soz' phir to ye zulm baar baar kahaan"
Urdu

غمزۂ چشم شرمسار کہاں سر تو حاضر ہے تیغ یار کہاں گل بھی کرتا ہے چاک اپنا جیب پر گریباں سا تار تار کہاں ہو غزالوں کو اس سے ہم چشمی تیکھی چتون کہاں خمار کہاں عندلیبوں نے گل کو گھیر لیا ایک جیوڑا کہاں ہزار کہاں ایک دن ایک شخص نے پوچھا میر صاحب تمہارا یار کہاں میں نے اس سے کہا کہ سن بھائی اب مجھے اس تلک ہے بار کہاں گاہ گاہے سلام کرتا ہے پر وہ باتیں کہاں وہ پیار کہاں زندگی تک ستم تو سہہ لے سوزؔ پھر تو یہ ظلم بار بار کہاں

Hindi

ग़म्ज़ा-ए-चश्म शर्मसार कहाँ सर तो हाज़िर है तेग़-ए-यार कहाँ गुल भी करता है चाक अपना जैब पर गरेबाँ सा तार तार कहाँ हो ग़ज़ालों को उस से हम-चश्मी तीखी चितवन कहाँ ख़ुमार कहाँ अंदलीबों ने गुल को घेर लिया एक जेवड़ा कहाँ हज़ार कहाँ एक दिन एक शख़्स ने पूछा मीर साहब तुम्हारा यार कहाँ मैं ने उस से कहा कि सुन भाई अब मुझे उस तलक है बार कहाँ गाह-गाहे सलाम करता है पर वो बातें कहाँ वो प्यार कहाँ ज़िंदगी तक सितम तो सह ले 'सोज़' फिर तो ये ज़ुल्म बार बार कहाँ

ġhamza-e-chashm sharmsār kahāñ
Meer Soz
Meer Soz
Meer Soz
poet25 quotes

More by Meer Soz

View all →
Quote
"hamein kaun puchhe hai saahibo na savaal mein na javaab mein na to koi aadmi jaane hai na hisaab mein na kitaab mein na to ilm apne mein hai yahaan ki khudaa ne bhejaa hai kis liye isi ko jo kahte hain zindagi so to jism ke hai azaab mein yahi shakl hai jise dekho ho yahi vaza hai jise ghuro ho jise jaan kahte hain aadmi use dekhaa aalam-e-khvaab mein main khilaaf tum se nahin kahaa ise maano yaa ki na maano tum main ne apni aankhon se dekhaa main ki milaa huun us ki janaab mein na sunoge 'soz' ki guftugu jo phiroge DhunDne ku-ba-ku ye nasha hai us ke bayaan mein ki nahin nasha hai sharaab mein"
Meer SozMeer Soz
Quote
"ushshaaq tere sab the par zaar thaa so main thaa jag ke kharaaba andar ik khvaar thaa so main thaa daakhil shahidon mein to lohu lagaa ke sab the shamshir-e-naaz se pur-afgaar thaa so main thaa sumbul ke pech mein dil tere na thaa kisi kaa nargis kaa ek teri bimaar thaa so main thaa tujh ghar mein arz-e-matlab kis ki na thaa zabaan par dar par jo tere naqsh-e-divaar thaa so main thaa daagh-e-mohabbat ai gul jab thaa tiraa na jag mein daaghon se jis kaa siina gulzaar thaa so main thaa go ishq ke tumhaare ushshaaq ab muqir hain avval zabaan pe jis ki iqraar thaa so main thaa tujh ishq mein nasihat sab yaar maante the naaseh ke par sukhan se be-zaar thaa so main thaa is mai-kade mein gaahe ai 'soz' ham na bahke sab mast o be-khabar the hushyaar thaa so main thaa"
Meer SozMeer Soz
Quote
"kaabe hi kaa ab qasd ye gumraah karegaa jo tum se butaan hogaa so allaah karegaa zulfon se paDaa tuul mein ab ishq kaa jhagDaa khat aan ke ye majhla kotaah karegaa bose ki talab se to rahegaa tabhi ai dil jab gaaliyaan do-chaar vo tankhvaah karegaa aaine ko Tuk bhar ke nazar dekh to pyaare vo tujh ko mire haal se aagaah karegaa ahvaal-e-dil-e-zaar tujhe hovegaa maalum jab tu kisi mah-vash ki miyaan chaah karegaa vaahi na samajh 'soz' ke paimaan ko tu ai yaar jo tujh se kiyaa ahd so nirbaah karegaa"
Meer SozMeer Soz
Quote
"apne naale mein gar asar hotaa qatra-e-ashk bhi guhar hotaa jin ke naame ki hai pahunch tujh tak kaash main un kaa naama-bar hotaa dil na detaa jo main tujhe zaalim kyuun miri jaan kaa zarar hotaa phir na kartaa sitam kisi pe agar haal se mere baa-khabar hotaa khun-e-ushshaaq karte kyuun naahaq gar buton ko khudaa kaa Dar hotaa kaam aataa main ek din pyaare rabt mujh se tujhe agar hotaa khinchti fauj-e-khat jo husn pe tegh siina meraa hi vaan sipar hotaa 'soz' ko shauq kaa'be jaane kaa hai bahut par ziyaada-tar hotaa shaikh maanind tere us ke paas baar-bardaari ko jo khar hotaa"
Meer SozMeer Soz

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb