Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Mohammad Sharfuddin Sahil
jabin-e-dil pe nadaamat kaa daagh rahtaa hai
falak pe us kaa hamesha dimaagh rahtaa hai
gul-o-samar se ladaa hai har ik shajar lekin
gayaa hai kaun ki maghmum baagh rahtaa hai
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
soch apni badal rahaa huun main
kaf-e-afsos mal rahaa huun main
jo masarrat ko maat deti hai
fikr mein aisi Dhal rahaa huun main
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
balaa-e-jaan hai samar bad-havaas hone kaa
natija dekh lo tum khud udaas hone kaa
khat-e-muhit hai hablul-varid ke hai qarib
yaqin rakh tu use apne paas hone kaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
dete hain jis ko khun-e-jigar kam bahut hi kam
aate hain us shajar pe samar kam bahut hi kam
baaqi hain ab bhi dil pe mire zakhm-e-haadsaat
ehsaas-e-dard to hai magar kam bahut hi kam
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
baais-e-raahat-e-dil meraa muqaddar niklaa
jis ko samjhaa thaa bayaabaan vo miraa ghar niklaa
husn-e-maasum ki taqdis ko rusvaa na kiyaa
jitnaa ilzaam hai khush huun ki mire sar niklaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
mausam-e-hijr ki dil-soz nishaani degaa
ishq kaa dard hi unvaan-e-kahaani degaa
sang-e-be-maaya hai shak aur yaqin hai gauhar
vaqt-e-taqrir yahi shola-bayaani degaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
dafatan ho gai gul sham-e-vafaa tere baad
khaana-e-dil mein ujaalaa na huaa tere baad
mausam-e-josh-e-junun mein huaa paamaal chaman
le uDi khushbu-e-gul baad-e-sabaa tere baad
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
marbut kaamyaabi hai vaarastagi ke saath
rakh raah-e-pur-khatar mein qadam pukhtagi ke saath
pyaasaa taDap rahaa huun main dariyaa ke paas bhi
hai intihaa-e-zulm miri tishnagi ke saath
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
dekhiye andaaz us ki shokhi-e-tahrir kaa
pairahan hi khaak hai har paikar-e-tasvir kaa
zarb se us ki laraztaa hai dil-e-sang-e-jabal
tesha-e-azm-o-yaqin zaamin hai ju-e-shir kaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
alam kaa bojh uThaae safar mein rahtaa hai
jo bad-nasib miri chashm-e-tar mein rahtaa hai
vafaa ki bhiik koi zar-parast kyaa degaa
kasir faaeda us ki nazar mein rahtaa hai
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
shahr-e-mazlum mein ik shakhs bhi barham na milaa
khauf itnaa thaa koi paikar-e-maatam na milaa
maan luun kaise khilegaa gul-e-ummid miraa
barg-e-ulfat pe mujhe qatra-e-shabnam na milaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
ye kaisaa zulm-o-sitam bad-qimaash kartaa hai
vo be-gunaah kaa dil paash-paash kartaa hai
sukun-e-qalb se vo shakhs ho gayaa mahrum
havas ki qaid mein fikr-e-maaash kartaa hai
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
hujum-e-gham mein bahar-haal muskuraanaa hai
havaa ke rukh pe charaagh-e-yaqin jalaanaa hai
hai dil-kharaash bahut yaad mere maazi ki
use harim-e-ghazal mein mujhe sajaanaa hai
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
yuun mukaafaat-e-amal sab kuchh uThaa kar le gayaa
sar-phiraa sailaab basti ko bahaa kar le gayaa
saaya-e-rahmat saron pe un ke rahtaa hai mudaam
jab bhi koi apne dushman ko manaa kar le gayaa
· · ·
Mohammad Sharfuddin Sahil
mahfuz nahin zauq-e-havas dast-e-fanaa se
qudrat ne navaazaa hai mohabbat ko baqaa se
har harf-e-muqaddas hai haqiqat kaa muhaafiz
mansur hai maatub anal-haq ki sadaa se
· · ·







