SHAWORDS

dafatan ho gai gul sham-e-vafaa tere baad — Mohammad Sharfuddin Sahil

"dafatan ho gai gul sham-e-vafaa tere baad khaana-e-dil mein ujaalaa na huaa tere baad mausam-e-josh-e-junun mein huaa paamaal chaman le uDi khushbu-e-gul baad-e-sabaa tere baad jaam-e-mai shola-e-javvaala nazar aataa hai aag barsaati hai saavan ki ghaTaa tere baad baatini karb-o-aziyyat main bataaun kis ko koi hamraaz mujhe mil na sakaa tere baad jab bhi suljhaana hon pechida masaail mujh ko chumtaa huun tire naqsh-e-kaf-e-paa tere baad dil mein rah rah ke mire roz chubhaa karti hai khaar ban ke tiri har tarz-e-adaa tere baad maut dar-asl hai tamhid-e-hayaat-e-daaim raaz-e-hasti yahi 'saahil' pe khulaa tere baad"
Urdu

دفعتاً ہو گئی گل شمع وفا تیرے بعد خانۂ دل میں اجالا نہ ہوا تیرے بعد موسم جوش جنوں میں ہوا پامال چمن لے اڑی خوشبوئے گل باد صبا تیرے بعد جام مے شعلہ‌ٔ جوالہ نظر آتا ہے آگ برساتی ہے ساون کی گھٹا تیرے بعد باطنی کرب و اذیت میں بتاؤں کس کو کوئی ہم راز مجھے مل نہ سکا تیرے بعد جب بھی سلجھانا ہوں پیچیدہ مسائل مجھ کو چومتا ہوں ترے نقش کف پا تیرے بعد دل میں رہ رہ کے مرے روز چبھا کرتی ہے خار بن کے تری ہر طرز ادا تیرے بعد موت دراصل ہے تمہید حیات دائم راز ہستی یہی ساحلؔ پہ کھلا تیرے بعد

Hindi

दफ़अ'तन हो गई गुल शम-ए-वफ़ा तेरे बाद ख़ाना-ए-दिल में उजाला न हुआ तेरे बाद मौसम-ए-जोश-ए-जुनूँ में हुआ पामाल चमन ले उड़ी ख़ुश्बू-ए-गुल बाद-ए-सबा तेरे बाद जाम-ए-मय शो'ला-ए-जव्वाला नज़र आता है आग बरसाती है सावन की घटा तेरे बाद बातिनी कर्ब-ओ-अज़िय्यत मैं बताऊँ किस को कोई हमराज़ मुझे मिल न सका तेरे बा'द जब भी सुलझाना हों पेचीदा मसाइल मुझ को चूमता हूँ तिरे नक़्श-ए-कफ़-ए-पा तेरे बाद दिल में रह रह के मिरे रोज़ चुभा करती है ख़ार बन के तिरी हर तर्ज़-ए-अदा तेरे बाद मौत दर-अस्ल है तम्हीद-ए-हयात-ए-दाइम राज़-ए-हस्ती यही 'साहिल' पे खुला तेरे बाद

daf.atan ho ga.ī gul sham-e-vafā tere baad
Mohammad Sharfuddin Sahil
Mohammad Sharfuddin Sahil
Mohammad Sharfuddin Sahil
poet15 quotes

More by Mohammad Sharfuddin Sahil

View all →
Quote
"soch apni badal rahaa huun main kaf-e-afsos mal rahaa huun main jo masarrat ko maat deti hai fikr mein aisi Dhal rahaa huun main zulmat-e-shab mein raushni ke liye shama ki tarah jal rahaa huun main misl-e-gul khush-nasib huun kitnaa biich kaanTon ke pal rahaa huun main aatish-e-gham lagi hai siine mein mom jaisaa pighal rahaa huun main zulm par ehtijaaj laazim hai khuun munh se ugal rahaa huun main ye bhi kaar-e-jihaad hai 'saahil' harf-e-haq par aTal rahaa huun main"
Mohammad Sharfuddin SahilMohammad Sharfuddin Sahil
Quote
"balaa-e-jaan hai samar bad-havaas hone kaa natija dekh lo tum khud udaas hone kaa khat-e-muhit hai hablul-varid ke hai qarib yaqin rakh tu use apne paas hone kaa hue hain nim-barahna havas ne kheton mein diyaa na mauqa hi paidaa kapaas hone kaa har ik khayaal hai nafs-e-sharir ke taabe magar hai daavaa use haq-shanaas hone kaa lapak ke chhin liyaa is qadar vo pyaasaa thaa ye ehtimaam thaa khaali gilaas hone kaa na puchho mujh se main tashrih kar nahin saktaa hai haadisa hi ajab qaid-e-yaas hone kaa mazaaq aish kaa is darja gir gayaa 'saahil' tamaashaa hotaa hai ab be-libaas hone kaa"
Mohammad Sharfuddin SahilMohammad Sharfuddin Sahil
Quote
"dete hain jis ko khun-e-jigar kam bahut hi kam aate hain us shajar pe samar kam bahut hi kam baaqi hain ab bhi dil pe mire zakhm-e-haadsaat ehsaas-e-dard to hai magar kam bahut hi kam ye munhasir hai kasb-e-halaal-o-haraam par hotaa hai ab duaa mein asar kam bahut hi kam vaaiz ki guftugu mein jo daam-e-fareb hai paate hain us se log mafar kam bahut hi kam ghavvaas-e-bahr-e-ilm hain girdaab-e-hirs mein baazaar mein hain laal-o-gohar kam bahut hi kam ehsaas jin ke dil mein ho karb-e-yatim kaa is ahd mein hain aise bashar kam bahut hi kam 'saahil' jo mil gayaa hai to kuchh qadr kijiye is tarah ke hain ahl-e-hunar kam bahut hi kam"
Mohammad Sharfuddin SahilMohammad Sharfuddin Sahil
Quote
"baais-e-raahat-e-dil meraa muqaddar niklaa jis ko samjhaa thaa bayaabaan vo miraa ghar niklaa husn-e-maasum ki taqdis ko rusvaa na kiyaa jitnaa ilzaam hai khush huun ki mire sar niklaa hai sabab ru-e-munavvar miri barbaadi kaa haath aayaa thaa jo yaaqut vo patthar niklaa dars lo himmat-e-aali se miri divaano main vo daaman huun jo kaanTon se ulajh kar niklaa luT gayaa manzil-e-maqsad pe pahunch kar afsos rahnumaa jis ko main samjhaa thaa sitamgar niklaa zulmat-e-shab hui kaafur yakaayak 'saahil' matlaa-e-subh se jab mehr-e-munavvar niklaa"
Mohammad Sharfuddin SahilMohammad Sharfuddin Sahil
Quote
"jabin-e-dil pe nadaamat kaa daagh rahtaa hai falak pe us kaa hamesha dimaagh rahtaa hai gul-o-samar se ladaa hai har ik shajar lekin gayaa hai kaun ki maghmum baagh rahtaa hai taras rahaa hai ujaale ko khuun se jis ke hasin qasr mein raushan charaagh rahtaa hai anaa ke khol se baahar kabhi nahin aataa vo jis kaa ilm se khaali ayaagh rahtaa hai jo kasb-e-rizq mein neamat kaa paa gayaa mafhum usi amiir kaa dil bhi faraagh rahtaa hai fareb-o-makr ki tashrih mat bataa mujh ko mire shajar ke nasheman mein zaagh rahtaa hai hai inkishaaf-e-haqiqat hi fitrat-e-'saahil' ajiib shakhs hai mahv-e-suraagh rahtaa hai"
Mohammad Sharfuddin SahilMohammad Sharfuddin Sahil

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud