SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMubarak Ansari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham tire shahr se yuun jaan-e-vafaa lauT aae jaise divaar se Takraa ke sadaa lauT aae na koi khvaab na manzar na koi pas-manzar kitnaa achchhaa ho jo bachpan ki fazaa lauT aae aa gaiin phir vahi mausam ki jabin par shiknein masale phir vahi is baar bhi kyaa lauT aae apne aangan mein koi peD lagaa tulsi kaa shaayad is tarah se phir khvaab tiraa lauT aae jism se sote pasine ke ubal uTThe hain ab to behtar hai ki masmum havaa lauT aae lauT ham aae 'mubaarak' yuun dar-e-jaanaan se jaise aakaash se muflis ki duaa lauT aae"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"gumaan ki qaid-e-hisaar-e-qayaas se niklo kisi tarah se bhi is sabz ghaas se niklo ye shahr-e-sang hai shahr-e-vafaa nahin hai ye agar nikalnaa hai hosh-o-havaas se niklo vagarna vaqt tumhein haashiye pe rakh degaa yaqin ke sehr se aashob-e-aas se niklo ye kaisaa nashsha hai aakhir jo TuTtaa hi nahin koi pukaar rahaa hai gilaas se niklo kahaan talak main nigaahon ko duun fareb apni kabhi to gard-e-adam ke libaas se niklo 'mubaarak' aag ke dariyaa se bhi guzarnaa hai dahakti dhuup se sahraa ki pyaas se niklo"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"kuchh ab ke jang pe us ki giraft aisi thi dar-asl thaa vahi faateh shikast aisi thi khush-aamdid nai raushni ko kyuun kahti hamaari qaum qadaamat-parast aisi thi havaas-o-hosh koi bhi na rakh sakaa qaaem havaa-e-taaza bhi shoala-ba-dast aisi thi nafas nafas ko ham apnaa gavaah karne lage hamaare samt sadaa-e-alast aisi thi shanaakht kar na sakaa aaina-nazar bhi use har ek shaakh-e-badan lakht lakht aisi thi hazaar rang ke jalvon se thi fazaa maamur guzishta raat 'mubaarak' nashist aisi thi"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaanaa ghazal mein apni koi sher mohmal chhoD jaanaa hain naa-maanus abhi karb-e-tamaashaa se nigaahein dayaar-e-jaan mein aashob-e-musalsal chhoD jaanaa nazar aaein kabhi tahrir mein be-rabt fiqre kabhi peshaani-e-tanqid pe bal chhoD jaanaa baDi mushkil se hotaa hai koi darvesh-khaslat miyaan aasaan nahin kamkhvaab-o-makhmal chhoD jaanaa ki raas aataa nahin aankhon ko ab shoalon kaa mausam havaaon is taraf bhi laa ke baadal chhoD jaanaa 'mubaarak' bas yahi ik aakhiri khvaahish hai apni jo mujh ko qatl karnaa ho to maqtal chhoD jaanaa"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"khinch kar mujh ko har ik naqsh-o-nishaan le jaae kyaa pata zauq-e-safar meraa kahaan le jaae kaam ye har kas-o-naa-kas ke nahin hai bas kaa jis ko sach kahnaa ho khanjar pe zabaan le jaae sirf ik baar tabassum vo uchhaale to idhar aur badle mein miraa saaraa jahaan le jaae jis ko dikhlaani ho duniyaa ko shujaaat apni vahi sar apnaa sar-e-nok-e-sinaan le jaae kahin raushan nazar aate nahin ab sar ke charaagh arsa-e-jang se vo khud ko kahaan le jaae apni ghazlon mein jise rang-e-quzah bharnaa ho vo 'mubaarak' miraa ejaaz-e-bayaan le jaae"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"nafas nafas ko havaa ki rikaab mein rakhnaa vajud apnaa kaf-e-aaftaab mein rakhnaa gharib-e-shahr tujhe tishnagi na le Duube sambhal ke apnaa qadam dasht-e-aab mein rakhnaa ye vo gulaab hain jo dhuup sah nahin sakte unhein hamesha shab-e-maahtaab mein rakhnaa ki jin kaa chashm-e-nazaara tavaaf karne lage kuchh aise naqsh bhi divaar-e-khvaab mein rakhnaa vo khvaah phuul ho mahtaab ho ki saaghar ho koi bhi shai ho na us ke javaab mein rakhnaa hasin lafzon ki surat hain khadd-o-khaal us ke 'mubaarak' un ko bhi apni kitaab mein rakhnaa"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"usi ke pyaar ko dil se nikaal rakkhaa hai hamesha jis ne hamaaraa khayaal rakkhaa hai vagarna TuuT ke kab kaa bikhar gayaa hotaa khayaal-e-yaar ne dil ko sambhaal rakkhaa hai magar hain dida-e-binaa ko ham sameTe hue hamaare aage hamaaraa maaal rakkhaa hai chale bhi aao ki ham ne dayaar-e-ghair mein bhi sabil DhunD li rasta nikaal rakkhaa hai shikasta-khvaab muqaddar kahin na ban jaaein khudaa-e-vaqt ne vaadon pe Taal rakkhaa hai azal ke din se 'mubaarak' havaaon ki zad par miraa vajud diye ki misaal rakkhaa hai"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"phisalne vaalaa thaa khud ko magar sanbhaal gayaa ajiib shakhs thaa vo baat hans ke Taal gayaa badalne vaali hai rut saaebaan se niklo jo shoala-baar thaa vo abr barshgaal gayaa tum apne aap ko pahchaan bhi na paaoge vo raushni mein andheraa agar uchhaal gayaa naqaab apni buraai pe Daalni thi use vo laa ke khaak miri nekiyon pe Daal gayaa qusur-vaar main Thahraaun aaine ko kyuun jo boltaa thaa tiraa ab vo khadd-o-khaal gayaa mizaaj apnaa 'mubaarak' badal diyaa main ne khayaal us kaa gae vaqt ki misaal gayaa"
Mubarak AnsariMubarak Ansari
Quote
"ye dosti kaa taqaazaa hai is ko dhyaan mein rakh hamesha faasla thoDaa saa darmiyaan mein rakh badalne vaalaa hai khurshid-taab kaa mausam to koi der abhi khud ko saaebaan mein rakh safina khud hi tiraa jaa lagegaa saahil se havaa lapeT ke thoDi si baadbaan mein rakh subut apni shujaaat kaa tujh ko denaa hai shikasta tiir kaDakti hui kamaan mein rakh tire sukhan ke sadaa log honge girvida miThaas urdu ki thoDi bahut zabaan mein rakh 'mubaarak' aur kahin par panaah-gaah na DhunD tu apne aap ko allaah ki amaan mein rakh"
Mubarak AnsariMubarak Ansari