SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMukesh Indori(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"sukun-parvar nigaahon ke sahaare chhin leti hai sunaami jab bhi aati hai kinaare chhin leti hai hansi bhi chhin leti hai khushi bhi chhin jaati hai bigaD jaati hai qismat to sitaare chhin leti hai musibat jab bhi aati hai to aansu le ke aati hai labon se muskuraahaT ke nazaare chhin leti hai koi hotaa nahin hai puchhne vaalaa ye qismat to gharibon mein hamaare sab sahaare chhin leti hai vidaaa ho kar chali jaati hain jab bhi beTiyaan ghar se to phir maan baap ki aankhon ke taare chhin leti hai pitaa ko naaz thaa jis par vahi aulaad phir ik din yaqin bhi toD deti hai sahaare chhin leti hai bahaarein jab kabhi gulshan se apne ruuTh jaati hain sabhi gulshan se vo rangin nazaare chhin leti hai muqaddar ko bigaDte der lagti hi nahin 'indori' kisi ki bad-duaaein sab bahaarein chhin leti hain"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"lazzat-e-dard-e-jigar dost baDhaa detaa hai zakhm ristaa hai to kuchh aur maza detaa hai mere zakhmon pe namak roz chhiDak detaa hai jaane kis jurm ki vo mujh ko sazaa detaa hai talkh baaton se mire dil ko dukhaataa hai roz meraa ho ke mire zakhmon ko havaa detaa hai rang beTaa bhi badal letaa hai girgiT ki tarah vaqt paDne pe hamesha vo daghaa detaa hai jab bhi be-parda tasavvur mein chalaa aataa hai meri nazron mein koi khvaab sajaa detaa hai aag siine mein mohabbat ki sulag jaati hai vo nigaahon se mujhe jab bhi pilaa detaa hai Duub jaataa hai sar-e-shaam vo suraj to magar khvaahishein raat ke siine mein dabaa detaa hai tere aane ki tamannaa mein hi rahtaa hai 'mukesh' teri raahon mein ye palkon ko bichhaa detaa hai"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"andheron ki hukumat ko miTaa kar apne ghar aayaa savere jaise hi aankhein khuli suraj nazar aayaa gayaa mathuraa banaras aur kaaba har jagah lekin milaa dil ko sukun jab lauT kar main apne ghar aayaa paDi hai maar jab se vaqt ki Darne lagaa huun main chaDhaa thaa jo javaani kaa nasha pal mein utar aayaa kai kaanTe bichhaae doston ne raah mein meri unhein chun kar unhin raahon se main saabit guzar aayaa akelaa laD rahaa huun zindagi ki jang bachpan se balaa ki bhiiD hai koi nahin apnaa nazar aayaa gharon mein qaid ho kar rah gai hai zindagi sab ki zamaane ki fazaa mein dost kaisaa ye asar aayaa zamaane vaale to kahte raheinge kahne do in ko hamesha maare hain patthar nazar jo bhi shajar aayaa duaaon kaa asar hai mere purkhon ki ye 'indori' hamesha dushmanon ke ghar mein un ke par katar aayaa"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"banda-parvar aap ki to zindagi aabaad hai aap ko is se gharaz kyaa gar koi barbaad hai hai ijaazat aap to mashk-e-sitam farmaaiye ham gharibon kaa kaleja baa-khudaa faulaad hai apnaa apnaa hai muqaddar apnaa apnaa hai nasib hai koi aabaad duniyaa mein koi barbaad hai khuun insaan kaa bahaate hain jo paani ki tarah aise logon ki badaulat gulsitaan barbaad hai kis qadar mushkil hai khul kar saans lenaa bhi yahaan sirf kahne ke liye apnaa vatan aazaad hai naujavaan haathon mein hai is mulk ki taqdir ab naujavaan haathon ke dam se mulk ye aabaad hai titliyon ke pichhe pichhe dauDnaa vo har taraf aaj tak ham ko laDakpan kaa zamaana yaad hai kis qadar rangi zamaana thaa vo bachpan kaa 'mukesh' kuchh tumhein bhi yaad hogaa kuchh mujhe bhi yaad hai"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"jurm-e-vafaa ki khuub sazaa de gayaa mujhe ik lambi zindagi ki duaa de gayaa mujhe zakhmon pe mere us ne namak tak chhiDak diyaa dard-e-jigar ki khuub davaa de gayaa mujhe aankhon mein ashk meri vo bhar kar chalaa gayaa meri vafaa kaa khuub sila de gayaa mujhe us ne sukun kab mujhe bakhshaa hai aaj tak bholi tasalliyon kaa nasha de gayaa mujhe jis ko bhi dost main ne sharik-e-safar kiyaa har ik qadam pe vo hi daghaa de gayaa mujhe ai dost raah chalte milaa jo faqir aaj vo meri zindagi kaa pataa de gayaa mujhe aankhon mein ashk siine mein rahne lagaa thaa dard sun li khudaa ne aaj qazaa de gayaa mujhe main ne hayaat jis ki sanvaari thi ai mukesh vo hi ghamon ki garm havaa de gayaa mujhe"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"kise khabar thi labon se hansi bhi chhinegaa zamaana ham se hamaari khushi bhi chhinegaa sahaaraa kaun gharibon ko dost detaa hai gharib ki to koi jhonpaDi bhi chhinegaa usi ke dam se hai qaaem nizaam saanson kaa ye zindagi hai usi ki kabhi bhi chhinegaa ye baat sun ke taajjub saa ho rahaa hai hamein kabhi kisi ki koi zindagi bhi chhinegaa lagaa de shauq se koi qalam pe paabandi hai kis mein dam jo miri shaairi bhi chhinegaa hai saadgi to azal se hi meri fitrat mein vo kaun hai jo miri saadgi bhi chhinegaa chaman mein shoala jo nafrat kaa uTh rahaa hai yahaan hansi gulon ki vahi taazgi bhi chhinegaa andhere jis ko muqaddar ne de diye hain 'mukesh' vo sochtaa hai miri raushni bhi chhinegaa"
Mukesh IndoriMukesh Indori
Quote
"apni qismat ki lakiron ko ishaara na milaa koi jugnu koi moti koi taaraa na milaa jin kaa bachpan miri baanhon mein hi guzraa thaa kabhi is buDhaape mein mujhe un kaa sahaaraa na milaa gham ke maare to hazaaron hi zamaane mein mile mere jaisaa koi taqdir kaa maaraa na milaa ghuum aae hain jahaan saaraa magar aaj talak aap ke jaisaa hansi koi dobaara na milaa apni palkon ko bichhaayaa tiri raahon mein magar teri aamad kaa koi dil ko ishaaraa na milaa mujh ko duniyaa ne to nafrat ke sivaa kuchh na diyaa mar hi jaaungaa agar pyaar tumhaaraa na milaa jo safine ko kinaare se lagaa detaa mire haae qismat mujhe aisaa koi dhaaraa na milaa hai ghamon kaa vo bhanvar jis mein phansaa huun ai 'mukesh' zindagi ko miri khushiyon kaa kinaaraa na milaa"
Mukesh IndoriMukesh Indori