SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMuneer Anjum(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"aaeinge raah-e-'ishq mein kuchh haadsaat aur dil mujh se kah rahaa hai zaraa ehtiyaat aur bachchon se phir kahaa hai ki gaaDi nahin mili bachchon se phir kahaa hai ki bas ek raat aur pahle bhi tere jud-o-karam se 'ataa hui ai shaah-e-mumkinaat mujhe ek naa't aur vo baat-chit 'ishq pe kartaa to hai magar kahne ki baat aur hai karne ki baat aur ye log jo bhi kahte hain logon ki baat chhoD logon ke saath aur huun main tere saath aur ik dusre ke saath bhi banti na thi 'munir' aur aa gai safar mein achaanak se raat aur"
Muneer AnjumMuneer Anjum
Quote
"dard hotaa hai to haathon pe uThaa letaa hai meri aankhon se vo ashkon ko churaa letaa hai us ke maqsad ko samajh us ki 'ibaarat pe na jaa 'ishq to naar ko gulzaar banaa letaa hai ye adaa us ki mujhe duur na hone degi ruuTh jaataa huun to siine se lagaa letaa hai ye jo ghurbat mein udaasi kaa sabab hai mat puchh mujh se chhoTaa bhi mujhe chaar sunaa letaa hai baat kirdaar ki kartaa hi nahin hai koi log kahte hain bataa kitnaa kamaa letaa hai mere purkhon kaa lagaayaa huaa ye peD 'munir' mere bachchon ko bhi saae mein biThaa letaa hai"
Muneer AnjumMuneer Anjum
Quote
"kyon guftugu mein lahja-e-tar lag nahin rahaa baaton mein teri aaj asar lag nahin rahaa do chaar miil main tiri jaanib chalun magar do chaar miil kaa ye safar lag nahin rahaa main khub-ru javaan thaa ye maaniye janaab tasvir dekh lijiye gar lag nahin rahaa khun-e-jigar pilaa diyaa is ko magar abhi jaisaa main chaahtaa huun shajar lag nahin rahaa jab se makin-e-qalb ne chhoDaa hai apnaa ghar dil misl-e-reg-zaar hai ghar lag nahin rahaa tere baghair shahr mein har ek se 'munir' main dil lagaa rahaa huun magar lag nahin rahaa"
Muneer AnjumMuneer Anjum