Quote
"saahil pe tere baad ki viraani khaa gai utre samundaron mein to tughyaani khaa gai taaqat ye chaar din ki hai taarikh paDh zaraa sultaan kitne the jinhein sultaani khaa gai duniyaa badal gai thi koi gham na thaa mujhe tum bhi badal gae the ye hairaani khaa gai"







