SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNafis Parvez(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi to hai jo andheron mein bhi ujaalaa hai safar hayaat kaa aasaan karne vaalaa hai lahakti shaakh pe qaaem hai aashiyaan meraa sabaa ne god mein apni mujhe sanbhaalaa hai kiyaa savaal to dil ne hamein yuun bahlaayaa zaraa si der mein mausam badalne vaalaa hai karein bhi zikr-e-vafaa kis liye zamaane mein ye mudda'aa hi nahin kyon ise uchhaalaa hai 'ataa hue hain hamein ashk jo zamaane se mire labon ne tabassum mein un ko Dhaalaa hai vo muddaton se nahin hai miri nigaahon mein na jaane dil ne use kyon nahin nikaalaa hai"
Nafis ParvezNafis Parvez
Quote
"safar hai 'umr-bhar kaa saath mein saamaan kyaa karte jo mil jaate hamein bhagvaan to insaan kyaa karte safar mein Thokarein khaa kar haTaae sang raahon se ab is se aur behtar raaste aasaan kyaa karte dabe hain jo abhi dil mein vahi armaan hain dil ke jo nikle hain mire armaan vo armaan kyaa karte Dubonaa hi thaa gar un ko safina 'ishq kaa mere to ik qatra hi kaafi thaa bhalaa tufaan kyaa karte tire qadmon ki aahaT se tujhe ham jaan lete hain bataa ai zindagi ab aur ham pahchaan kyaa karte"
Nafis ParvezNafis Parvez
Quote
"gar ye dil kaa makaan hai khaali saari duniyaa jahaan hai khaali zindagi mein nahin rahe mele hasraton ki dukaan hai khaali chaand jaane kahaan pe kho aae duur tak aasmaan hai khaali marhale aur aane vaale hain ye to ik imtihaan hai khaali machhliyaan sharm se mari hongi kaanch kaa martabaan hai khaali ham to khaadim hain aap maalik hain ye siyaasi bayaan hai khaali ye na samjhein ki dil se khaali hain bas zabaan saahibaan hai khaali zindagi se abhi nahin haare bas zaraa si takaan hai khaali"
Nafis ParvezNafis Parvez
Quote
"vo baarhaa hi unhin raaston pe chalte hain 'ajib log hain gir kar nahin sanbhalte hain maqaam apnaa badalti nahin koi manzil safar mein log kai raaste badalte hain lagaate ham pe hain ilzaam bevafaai jo vo qatl kar ke bhi be-daagh bach nikalte hain chale hain jo bhi yahaan 'azm-e-raushni le kar charaagh un ki umidon ke roz jalte hain vahi hai dil vahi duniyaa vahi masaail hain so ham unhin se bichhaD kar unhin se milte hain qadam uThe to usi samt rukh rahaa un kaa mohabbaton ke jahaan raaste nikalte hain"
Nafis ParvezNafis Parvez