SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNasim Zahid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ye baat alag hai na ho izhaar-e-tamannaa insaan hai bahar-haal giraftaar-e-tamanna har chiiz yahaan bikti hai jo chaaho kharido vallaah bahut khuub hai baazaar-e-tamannaa maTkaa hai udhar mai kaa nashe kaa hai tasallut laTkaa hai idhar koi sar-e-daar-e-tamanna mahrumi-e-qismat ki sazaa kaaT rahaa huun iqraar hai mujh ko huun gunahgaar-e-tamannaa maghrur hasina si hain takmil ki raahein laazim hai bahut unchaa ho me’aar-e-tamannaa hushiyaar zaraa aage havas kaa hai 'ilaaqa behtar hai yahin rok lo raftaar-e-tamanna"
Nasim ZahidNasim Zahid
Quote
"jivan ho ji pe baar to hairat ki baat hai daarul-amaan ho daar to hairat ki baat hai fasl-e-khizaan chubhe to koi masala nahin chubhne lage bahaar to hairat ki baat hai Thukraa ke jo fasil-e-mohabbat se uD gayaa hai us kaa intizaar to hairat ki baat hai khaani thi main ne khaai hai allaah ki qasam aae na e'tibaar to hairat ki baat hai nafrat ke saath kijiye ab aatishin suluk yuun jal rahaa hai pyaar to hairat ki baat hai 'zaahid' anaa ki raah mein khaa khaa ke Thokarein utraa nahin khumaar to hairat ki baat hai"
Nasim ZahidNasim Zahid
Quote
"ai falak mujh ko mukarnaa hai mukar jaataa huun ab zamin ko miri haajat hai utar jaataa huun rokne vaale mujhe rok nahin paate hain main to dariyaa huun bahar-haal guzar jaataa huun mujh se kahne lagaa ilzaam mujassam ho kar main to aksar kisi maa'sum ke sar jaataa huun dhuup ne zarb lagaai hai mujhe aisi ki main chhaanv se aankh milaate hue mar jaataa huun ai ghazal hurmat-e-dastaar pe harf aaegaa main agar sar-phire zardaar ke ghar jaataa huun main to sonaa huun nahin is mein koi shak lekin hijr mein dhuul ki maanind bikhar jaataa huun is-qadar nur-e-mohabbat hai miri aankhon mein mujh ko bas tu nazar aataa hai jidhar jaataa huun sirf hikmat ke sabab hotaa hai aisaa 'zaahid' kaun kahtaa hai ki main Dar ke Thahar jaataa huun"
Nasim ZahidNasim Zahid
Quote
"ye kis ne kah diyaa mujhe rahbar pasand hai main khuub jaantaa huun ki vo shar-pasand hai pencil hai mere haath mein kaaghaz hai saamne bas ye bataa de kaun saa manzar pasand hai saahil pe us ke pyaar ne bangla diyaa use us ne kahaa thaa mujh ko samundar pasand hai ye hai hayaa kaa haal ki maghrur hai zavaal ab kyaa savaal kaun saa zevar pasand hai pukhta makaan vaalon ko barsaat hai pasand barsaat ko magar miraa chhappar pasand hai 'zaahid' ne mujh se puchhaa tujhe kaun hai pasand main ne kahaa ki achchhaa sukhanvar pasand hai"
Nasim ZahidNasim Zahid
Quote
"kisi ke husn ki jalvagari ne mujh ko luuTaa hai zamin ke chaand ki rakhshandagi ne mujh ko luuTaa hai kabhi main naam le ke us ko rusvaa kar nahin saktaa samajh lo ye ki zinda shaa'iri ne mujh ko luuTaa hai main us ko jism pahnaaun to hogi vo sitamgar si safar mein ziist ke jis aagahi ne mujh ko luuTaa hai na koi ham-safar meraa na koi raahbar meraa baDe aaraam se aavaargi ne mujh ko luuTaa hai bhaTaktaa phir rahaa huun main tamannaaon ki duniyaa mein ghazab hai har qadam par zindagi ne mujh ko luuTaa hai udhar tum ho ki subh-e-karr-o-far hai mehrbaan tum par idhar main huun ki shaam-e-bekasi ne mujh ko luuTaa hai ai charkh-e-nilgun sach-much koi hairat nahin mujh ko farishta ban ke jo ik aadmi ne mujh ko luuTaa hai sitaaro mujh se us kaa tazkira kyon karte rahte ho tumhein maa'lum hai jab chaandni ne mujh ko luuTaa hai lab-e-izhaar vaa kar ke paDaa hai koi zindaan mein mujhe dekho ki jabr-e-khaamushi ne mujh ko luuTaa hai kisi ke gham pe ik din muskuraayaa thaa haqaarat se kahun kyaa kis tarah meri khushi ne mujh ko luuTaa hai main ik maghrur dariyaa thaa chalo achchhaa huaa 'zaahid' baDi shaaistagi se ik nadi ne mujh ko luuTaa hai"
Nasim ZahidNasim Zahid