SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNau Bahar Sabir(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kabhi dahakti kabhi mahakti kabhi machalti aai dhuup har mausam mein aangan aangan ruup badal kar chhaai dhuup us ko zakhm mile duniyaa mein jis ne maange taaza phuul jis ne chaahi chhaanv ki chhatri us ke sar par chhaai dhuup jaane apnaa ruup dikhaa kar kis ne parda taan liyaa kis ki khoj mein aavaara hai angnaai angnaai dhuup chaDhte suraj ki kirnein hain daulat 'izzat shohrat shaan aakhir aakhir har divaar se yaaro Dhalti aai dhuup daanish ki afzuni aksar karti hai dil ko gumraah tez ziyaada ho to chhine aankhon ki binaai dhuup maathe par sindur ki bindiyaa thaali mein kuchh surkh gulaab nuur ke taDke uushaa taT par puujaa karne aai dhuup kaun baDhaae pyaar ki peingein us naT-khaT banjaaran se phirne ko to nagri nagri phirti hai harjaai dhuup janam janam ke andhiyaare kaa jaadu chhan mein TuuT gayaa 'saabir' aaj miri kuTiyaa mein chupke se dar aai dhuup"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"buund paani ki huun thoDi si havaa hai mujh mein is bizaaat pe bhi kyaa turfa anaa hai mujh mein ye jo ik hashr shab-o-roz bapaa hai mujh mein ho na ho aur bhi kuchh mere sivaa hai mujh mein safha-e-dahr pe ik raaz ki tahrir huun main har koi paDh nahin saktaa jo likhaa hai mujh mein kabhi shabnam ki lataafat kabhi shoale ki lapak lamha lamha ye badaltaa huaa kyaa hai mujh mein shahr kaa shahr ho jab arsa-e-mahshar ki tarah kaun suntaa hai jo kohraam machaa hai mujh mein toD kar saaz ko sharminda-e-mizraab na kar ab na jhankaar hai koi na sadaa hai mujh mein vaqt ne kar diyaa 'saabir' mujhe sahraa-ba-kanaar ik zamaane mein samundar bhi bahaa hai mujh mein"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"har ek shakhs khafaa mujh se anjuman mein thaa ki mere lab pe vahi thaa jo mere man mein thaa kasak uThi thi kuchh aisi ki chikh chikh paDun rahaa main chup hi ki bahron ki anjuman mein thaa ulajh ke rah gai jaame ki dilkashi mein nazar use kisi ne na dekhaa jo pairahan mein thaa kabhi main dasht mein aavaara ik bagulaa saa kabhi main nikhat-e-gul ki tarah chaman mein thaa main us ko qatl na kartaa to khud-kushi kartaa vo ik harif ki surat mire badan mein thaa usi ko mere shab-o-roz par muhit na kar vo ek lamha-e-kamzor jo gahan mein thaa miri sadaa bhi na mujh ko sunaai di 'saabir' kuchh aisaa shor bapaa sahn-e-anjuman mein thaa"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"duur thaa saahil bahut dariyaa bhi tughyaani mein thaa ik shikasta-naav saa main tez-rau paani mein thaa mujh se milne koi aataa bhi to miltaa kis tarah main to ghar mein band khud apni nigahbaani mein thaa aadamiyat ke evaz us ne kharidaa hai libaas aadmi thaa aadmi jab ahd-e-uryaani mein thaa hai club ke rang-o-raamish mein bhi mere saath saath ek sannaaTaa jo dil ki khaana-viraani mein thaa thaa vo mere khair-maqdam ko ba-zaahir pesh pesh aks-e-digar lekin us ki khanda-peshaani mein thaa maqtal-e-shaam-o-sahar mein kyaa panapti zindagi shabnamistaan honkte shoalon ki nigaraani mein thaa mausam-e-gul bhi junun-parvar thaa lekin beshtar maslahat kaa haath meri chaak-daamaani mein thaa 'saabir' us manzar ki movie le rahaa thaa ek shakhs shaakh par ik aashiyaan shoalon ki taabaani mein thaa"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"buund paani ki huun thoDi si havaa hai mujh mein is bizaa’at pe bhi kyaa turfa anaa hai mujh mein ye jo ik hashr shab-o-roz bapaa hai mujh mein ho na ho aur bhi kuchh mere sivaa hai mujh mein safha-e-dahr pe ik raaz ki tahrir huun main har koi paDh nahin saktaa jo likhaa hai mujh mein kabhi shabnam ki lataafat kabhi sho'le ki lapak lamha lamha ye badaltaa huaa kyaa hai mujh mein shahr kaa shahr ho jab 'arsa-e-mahshar ki tarah kaun suntaa hai jo kohraam machaa hai mujh mein toD kar saaz ko sharminda-e-mizraab na kar ab na jhankaar hai koi na sadaa hai mujh mein vaqt ne kar diyaa 'saabir' mujhe sahraa-ba-kanaar ik zamaane mein samandar bhi bahaa hai mujh mein"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"miraa vajud hai ik naqsh-e-aab ki surat shikast jis kaa muqaddar hai khvaab ki surat bikhar na jaaun fazaa mein varaq varaq ho kar havaa ki zad mein huun kohna kitaab ki surat tanaav had se baDhegaa to TuuT jaaeinge dilon ke raabte taar-e-rabaab ki surat kisi bhi lamhe nikal jaaungaa havaa ki tarah miraa badan hai hisaar-e-habaab ki surat darun-e-sina koi chikhtaa hai shaam-o-sahar ye qahqahe to hain rukh par naqaab ki surat ghurur-e-vaqt se nashsha huaa sivaa 'saabir' miri anaa thi puraani sharaab ki surat"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"kaanTe ko phuul sang ko gauhar kahaa gayaa is shahr mein gadaa ko sikandar kahaa gayaa be-chehra log husn kaa me'yaar ban gae parchhaaiyon ko nuur kaa paikar kahaa gayaa jallaad ko masihaa-nafas ki sanad mili insaan-dushmanon ko payambar kahaa gayaa kuchh jis ke paas nish-o-namak ke sivaa na thaa chaak-e-jigar kaa us ko rafu-gar kahaa gayaa kyaa shai hai maslahat bhi shab-e-tira-faam ko daanishvaron mein subh-e-munavvar kahaa gayaa gungaa hai kar rahaa hai ishaaron mein baat-chit 'saabir' ko kis binaa pe sukhanvar kahaa gayaa"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"main khud gayaa na us ki adaa le gai mujhe maqtal mein rasm-e-paas-e-vafaa le gai mujhe andar se khokhlaa jo thaa ballōn ki tarah chaahaa jidhar havaa ne uDaa le gai mujhe ik harf thaa jo tum ne sunaa an-sunaa kiyaa ab DhunDte phiro ki sadaa le gai mujhe saahil se meraa paanv phisalne ki der thi ik mauj-e-be-panaah bahaa le gai mujhe baiThaa thaa chhup ke os ki ThanDi phuvaar mein aai kaDakti dhuup uThaa le gai mujhe jaataa kahaan ki aage koi raasta na thaa andhi guphaa mein meri anaa le gai mujhe 'saabir' main reza reza khalaa mein bikhar gayaa itni bulandiyon pe havaa le gai mujhe"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"sim-o-zar chaahe na almaas-o-guhar maange hai dil to darvesh hai ulfat ki nazar maange hai jab ghazal mujh se koi misra-e-tar maange hai kaavish-e-fikr miraa khun-e-jigar maange hai dil ko hai aafiyat-e-anjuman-e-gul ki talab zindagi dasht-e-mughilaan kaa safar maange hai mujh ko le jaae jo anjaane dayaaron ki taraf meri aavaara-mizaaji vo Dagar maange hai apne maahaul se har shakhs hai maail-ba-faraar koi bezaar hai ghar se koi ghar maange hai the jo rangini-e-daamaan-e-nazar kaa saamaan dida-e-shauq vahi shaam-o-sahar maange hai kal bhi jaan-baaz hi karte the nigah-daari-e-haq ye junun aaj bhi nazraana-e-sar maange hai ho jahaan aib-shumaari hi parakh kaa mafhum saabir us shahr mein kyaa daad-e-hunar maange hai"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir
Quote
"TuTtaa huun kabhi juDtaa huun main jaagti aankh kaa sapnaa huun main apni surat ko tarastaa huun main aaina DhunDne niklaa huun main kabhi pinhaan kabhi paidaa huun main kis fusun-gar kaa tamaashaa huun main khalish-e-khaar kabhi nikhat-e-gul har-nafas rang badaltaa huun main dekhiye kis ki nazar paDti hai kab se showcase mein rakkhaa huun main koi tiryaak nahin meraa ilaaj kushta-e-zahr-e-tamannaa huun main kabhi uThte hain mire daam bahut kabhi be-mol bhi mahngaa huun main koi pahchaane to kyaa pahchaane kabhi surat kabhi saayaa huun main aatish-e-gham ki tamaazat ke nisaar jitnaa taptaa huun nikhartaa huun main koi jaada hai na manzil 'saabir' apne hi gird bhaTaktaa huun main"
Nau Bahar SabirNau Bahar Sabir