Quote
"khule jo dil ke hain vo baat saaf karte hain haqiqaton kaa vahi e'tiraaf karte hain zaraa si baat pe ahbaab hote hain barham kabhi khataaein bhi dushman muaaf karte hain vo ittihaad ki karte hain baat kis munh se jo paidaa qaum mein khud ikhtilaaf karte hain jinhein hai aaj bhi daavaa chaman-parasti kaa vo saazishein bhi chaman ke khilaaf karte hain baDaa subut hai un ki buland-zarfi kaa khataa jo karke agar e'tiraaf karte hain junun mein farz nahin bhule tere divaane harim-e-naaz kaa teri tavaaf karte hain 'nazar' anaa kaa nasha is qadar hai logon mein ki harf-e-haq se bhi vo inhiraaf karte hain"







