Quote
"to mil bhi jaae to phir bhi tujhe talaash karun har ek daur mein takhliq-e-irtiaash karun main faash ho hi chukaa huun to kyaa zaruri hai? ki apne saath tujhe bhi jahaan mein faash karun suraagh-e-zist mile reza reza insaan ko butaan-e-asr ko kuchh aise paash paash karun zamin ne qarz diyaa mujh ko rizq ki surat marun to kyuun na supurd us ke apni laash karun mujhe najaat mile tira-kaariyon se kaash main nuur ugaaun yahaan raushni maaash karun miri baqaa kaa taqaazaa hai jab bhi rut badle main jama az-sar-e-nau apni qaash qaash karun jadid daur mein rahte hue bhi ai 'ruhi' hai aarzu ki na tark apni bud-o-baash karun"







