Quote
"apnaa apnaa hausla thaa faasle tai kar gayaa vo jo kal tak ji rahaa thaa hanste hanste mar gayaa ro rahaa thaa aaina be-chehragi ko dekh kar main bhi apne aap se kal shab yaqinan Dar gayaa raat bhar kartaa rahaa sevaa kunvaare jism ki subh ki pahli kiran ke saath vo mandir gayaa meri saanson mein rahaa sajda-numaa raushan koi main jab apne aap ko le kar mukammal ghar gayaa har taraf phaili hui thi tirgi 'saajid-hamid’ kaun chehraa thaa jo aankhon mein sitaare bhar gayaa"







