SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySayeed Ahsan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jab bhi apnaa charaagh jaltaa hai haasidon kaa dimaagh jaltaa hai yurish-e-barq se nasheman kyaa shaakh jalti hai baagh jaltaa hai mere andar ki aag mat puchho honT lagte ayaagh jaltaa hai tirgi hai kahaan ki Darte ho aa bhi jaao ki daagh jaltaa hai haath aataa nahin ki pahle hi saazishon kaa suraagh jaltaa hai masale jin kaa hal nahin un ko sochiye to dimaagh jaltaa hai raqs-e-taaus kaa hasin manzar dekhtaa hai to zaagh jaltaa hai us ko bujhnaa hai is liye 'ahsan' zindagi kaa charaagh jaltaa hai"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"kitni mushkil hai ki mushkil ki taraf jaanaa hai khud se chal kar mujhe qaatil ki taraf jaanaa hai dil ye kahtaa hai ki girdaab mein le chal kashti zehn kahtaa hai ki saahil ki taraf jaanaa hai raah dushvaar hai to azm salaamat hai miraa mujh ko har haal mein manzil ki taraf jaanaa hai mujh se dekhaa nahin jaaegaa taDapnaa jis kaa kyaa sitam hai usi bismil ki taraf jaanaa hai baDhti jaati hai musalsal hi ye vahshat dil ki kyaa mujhe tauq-o-salaasil ki taraf jaanaa hai raahbar hogaa na raste mein luTere honge le ke aamaal hi manzil ki taraf jaanaa hai manzil-e-karb-o-balaa is se hai aage 'ahsan' lauT jaae jise baatil ki taraf jaanaa hai"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"ab to sochaa hai nai raah nikaali jaae apne dushman ki taraf phulon ki Daali jaae buz-dilon ke liye duniyaa mein nahin gunjaaish teri jurat kaa koi vaar na khaali jaae kyon na guftaar se talvaar kaa masraf le lein kyon har ik baat pe shamshir nikaali jaae haram-o-dair ke shoalon mein jalein ham kab tak zehn-e-jamhur mein ye baat bhi Daali jaae haram-o-dair ke maabain ho ulfat paidaa kyon na aisi koi tarkib nikaali jaae masala pyaar se hal ho to bahut achchhaa hai ye zaruri nahin shamshir uThaa li jaae haath mein tegh labon par hai lahu ki surkhi dil ke album mein ye tasvir sajaa li jaae log haatim ko bhulaa dein jo tumhaare dar se dil-shikasta na kabhi koi savaali jaae apni har bhuul ko paaband-e-nadaamat kar ke aaqibat naar-e-jahannam se bachaa li jaae maan ke qadmon mein hi jannat hai yaqinan 'ahsan' baat maan ki na kisi haal mein Taali jaae"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"aadam mein shaitaani fitrat kab tak aakhir aakhir kab tak insaan ko insaan se nafrat kab tak aakhir aakhir kab tak muddat is ki kitni muddat kab tak aakhir aakhir kab tak aisaa jiinaa aisi surat kab tak aakhir aakhir kab tak ret ki divaaron ke saae mein bhi aa kar ham kyaa karte aisaa naam aur aisi shohrat kab tak aakhir aakhir kab tak is duniyaa ki rangini mein aane kaa maqsad kho baiThe insaan ko jiine ki mohlat kab tak aakhir aakhir kab tak ham naa-samjhon ko samjhaao kyaa kahte ho kyaa likhte ho jitnaa mubham utni jiddat kab tak aakhir aakhir kab tak jitni taaqat is mein hai vo tufaanon se kyaa kam hogi 'ahsan' ye jazbaat ki shiddat kab tak aakhir aakhir kab tak"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"jo ho chukaa hai lahu ab vo shiir jaagegaa vo zulm hai ki har ik kaa zamir jaagegaa bahut dinon mein li nafrat ne dil mein angDaai jo mahv-e-khvaab hai tarkash kaa tiir jaagegaa javaan beTi ke hamraah bhiik maangtaa hai nigaah-e-bad jo paDegi faqir jaagegaa paraae khuun se itnaa bhi pyaar kyaa karnaa baDhegi umr to is kaa khamir jaagegaa chitaa ke shoalon ko rahne de sard hi varna bhaDak uThegaa to murda sharir jaagegaa ye kis savaal mein uljhe hue hain farzaane koi jagaae to barr-e-saghir jaagegaa adab-navaaz ke andar rahi jo bedaari to khaanqaah-e-adab kaa bhi piir jaagegaa ai mere dost lagaa inqalaab kaa naara har ek ghar kaa saghir-o-kabir jaagegaa khayaal-e-khaam hai shaitaan varghalaataa hai vo sotaa kab hai ki rabb-e-qadir jaagegaa tu apne lams ke jaadu pe eatibaar na kar ise jhinjhoD tab is kaa sharir jaagegaa rah-e-talab mein na bhaTkegaa koi bhi 'ahsan' jo kaarvaan ki umidon kaa miir jaagegaa"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"meri tarah sukun ke talabgaar tum bhi ho bimaar main agar huun to bimaar tum bhi ho main dil kaa shaahzaada huun tum raani husn ki main huun agar amiir to zardaar tum bhi ho bhule se bhi na aae kisi roz mere ghar main kaise maan luun ki milansaar tum bhi ho duniyaa mein koi bhi na rahe dard kaa shikaar gham baanT lo kisi kaa jo gham-khvaar tum bhi ho ik dusre pe rakhte hain donon kaDi nazar chaalaak main agar huun to hushiyaar tum bhi ho sarhad pe apni jaan luTaane kaa vaqt hai aao agar vatan ke vafaadaar tum bhi ho duniyaa se laD to saktaa thaa lekin laDungaa kyaa auron ke saath darpae-aazaar tum bhi ho tesha uThaa liyaa hai to phir kaise bakhsh duun auron ki tarah raah mein divaar tum bhi ho aankhein to kah rahi hain ki bas ji rahe ho tum goyaa khud apni ziist se bezaar tum bhi ho daaman-kushaai kyaa karein bandon ke saamne 'ahsan' mujhe yaqin hai ki khuddaar tum bhi ho"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan
Quote
"ye namaaz aakhiri hai ye salaam aakhiri hai mujhe baaryaab kar tu miraa kaam aakhiri hai ye kamaal hai junun kaa tiri justuju mein nikle kise aur ham pukaarein tiraa naam aakhiri hai sabhi toD kar qafas ko hain khuli fazaa mein raqsaan abhi kashmakash kaa maaraa ye ghulaam aakhiri hai vo jo aanaa chaahte hain to kaho ki jald aaein miraa dard laa-davaa hai miri shaam aakhiri hai kai baar main ne tauba yahi kah ke toD Daali mujhe ek jaam saaqi yahi jaam aakhiri hai ye jo khaa rahaa huun kam-kam ye jo pi rahaa huun be-had ye halaal aakhiri hai ye haraam aakhiri hai'' sar-e-shaam jal uThaa hai tiraa zakhm-e-aarzu bhi miri zindagi ki shaayad yahi shaam aakhiri hai miraa dam nikal rahaa hai miri aankh bujh rahi hai ye salaam meraa le le ye salaam aakhiri hai tu jahaan hai aaj 'ahsan' vahaan koi ab nahin hai tiri shohraton kaa shaayad yahi baam aakhiri hai"
Sayeed AhsanSayeed Ahsan