SHAWORDS

aisaa hogaa vaisaa hogaa — Mansoor Ejaz

HomeMansoor EjazGhazal
"aisaa hogaa vaisaa hogaa kyaa jaanun main kaisaa hogaa mere saamne baiTh ke ro le meraa gham bhi halkaa hogaa tu jo hansnaa bhuul gayaa hai teraa dil bhi TuuTaa hogaa ham donon mein rishta kyaa hai jag mein us kaa charchaa hogaa tu pardesi tu kyaa jaane main ne kyaa kyaa sochaa hogaa vo hai main huun tanhaai hai kaun bhalaa yuun tanhaa hogaa"
M
Mansoor Ejaz
Mansoor Ejaz
poet7 quotes

More by Mansoor Ejaz

View all →
Quote
"main bhi khaamosh ujaalon ki ziyaa huun jaise apni dharti pe khudaa teraa pataa huun jaise us ki aankhon mein qayaamat ki hayaa raushan hai niim khvaabida use soch rahaa huun jaise meraa maskan na Thikaana na koi raahguzar main koi sar-phiri aavaara havaa huun jaise meraa dar chhoD ke jaati hi nahin hai kam-bakht teri rusvaai ko ik main hi milaa huun jaise zindagi tu bhi to mujh se kabhi khul kar na mili ajnabi tere liye main bhi rahaa huun jaise khud se mil kar mujhe shiddat se lagaa hai 'mansur' ab talak murde zamiron mein rahaa huun jaise"
M
Mansoor Ejaz

More on Dil

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud