Shayari
ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hogaa
nai ruton mein darakhton kaa baar kam hogaa
ye intizaar sahar kaa thaa yaa tumhaaraa thaa
diyaa jalaayaa bhi main ne diyaa bujhaayaa bhi
یہ انتظار سحر کا تھا یا تمہارا تھا
دیا جلایا بھی میں نے دیا بجھایا بھی
ये इंतिज़ार सहर का था या तुम्हारा था
दिया जलाया भी मैं ने दिया बुझाया भी

ye aur baat ki rang-e-bahaar kam hogaa
nai ruton mein darakhton kaa baar kam hogaa
aaj zaraa si der ko apne andar jhaank kar dekhaa thaa
aaj miraa aur ik vahshi kaa saath rahaa pal do pal kaa
utaaraa dil ke varaq par to kitnaa pachhtaayaa
vo intisaab jo pahle bas ik kitaab pe thaa
gahri sochein lambe din aur chhoTi raatein
vaqt se pahle dhuup saron pe aa pahunchi
hazaaron qumqumon se jagmagaataa hai ye ghar lekin
jo man mein jhaank ke dekhun to ab bhi raushni kam hai
tumhaare naam ke niche khinchi hui hai lakir
kitaab-e-zist hai saada is indiraaj ke baad
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
tamaam umr rahe meraa muntazir tu bhi
tamaam umr mire intizaar ko tarse
haan dil-e-be-taab chande intizaar
amn-o-raahat kaa Thikaana aur hai
ab kaun muntazir hai hamaare liye vahaan
shaam aa gai hai lauT ke ghar jaaein ham to kyaa
aahaTein sun rahaa huun yaadon ki
aaj bhi apne intizaar mein gum