Shayari
jo saare ham-safar ik baar harz-e-jaan kar lein
to jis zamin pe qadam rakkhein aasmaan kar lein
jaantaa huun kaun kyaa hai aap kyuun dein mashvara
main luTeron se bhi vaaqif aur rahbar-aashnaa
جانتا ہوں کون کیا ہے آپ کیوں دیں مشورہ
میں لٹیروں سے بھی واقف اور رہبر آشنا
जानता हूँ कौन क्या है आप क्यूँ दें मशवरा
मैं लुटेरों से भी वाक़िफ़ और रहबर-आश्ना

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
jaan jaane ko hai aur raqs mein parvaana hai
kitnaa rangin mohabbat tiraa afsaana hai
ifshaa-e-raaz-e-ishq mein go zillatein huiin
lekin use jataa to diyaa jaan to gayaa