Shayari
haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
khud ko maazi kaa nihaan-khaana banaa rakkhaa hai
ashkon ko aarzu-e-rihaai hai roiye
aankhon ki ab isi mein bhalaai hai roiye
اشکوں کو آرزوئے رہائی ہے روئیے
آنکھوں کی اب اسی میں بھلائی ہے روئیے
अश्कों को आरज़ू-ए-रिहाई है रोइए
आँखों की अब इसी में भलाई है रोइए

haalat-e-haal se begaana banaa rakkhaa hai
khud ko maazi kaa nihaan-khaana banaa rakkhaa hai
khush hain to phir musaafir-e-duniyaa nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-paai hai roiye
mere kamre mein udaasi hai qayaamat ki magar
ek tasvir puraani si hansaa karti hai
inhein aankhon ne bedardi se be-ghar kar diyaa hai
ye aansu qahqaha banne ki koshish kar rahe the
ham hain asir-e-zabt ijaazat nahin hamein
ro paa rahe hain aap badhaai hai roiye
khamoshi kah rahi hai ab ye do-aabaa ravaan hogaa
havaa chup ho to baarish ke shadid aasaar hote hain
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ajnabi raaston par bhaTakte rahe
aarzuon kaa ik qaafilaa aur main
agar phulon ki khvaahish hai to sun lo
kisi ki raah mein kaanTe na rakhnaa
kyaa karun khilat o dastaar ki khvaahish ki mujhe
ziist karne kaa saliqa bhi ziyaan se aayaa
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa