Shayari
parinde sab nahin zindaan mein maare gae hain
qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makaani mein mare hain
vahi rusvaai kaa meri sabab aakhir bane maulaa
vahi jo log kal shaamein suhaani karne vaale the
وہی رسوائی کا میری سبب آخر بنے مولیٰ
وہی جو لوگ کل شامیں سہانی کرنے والے تھے
वही रुस्वाई का मेरी सबब आख़िर बने मौला
वही जो लोग कल शामें सुहानी करने वाले थे

parinde sab nahin zindaan mein maare gae hain
qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makaani mein mare hain
ulaT kar jab bhi dekhi hai kitaab-e-zindagi ham ne
to har ik lafz ke pichhe koi ik haadisa niklaa
badan par is-qadar baarish mire hoti hai boson ki
ki jab baanhein tiri mujh par khuli hon Daaliyaan ban kar
vahi ik qissa ab tak dhyaan mein raushan nahin hotaa
tasalsul jis se vaabasta hai pichhli daastaanon kaa
tasavvur ki hadon se duur jaa kar kaise dekheinge
agar tum se ta'alluq ghaaebaana bhi nahin hogaa
kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil ki thi
aaj lekin ishq apnaa jaavedaan hone ko thaa
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein