Shayari
tum apne aks mein kyaa dekhte ho
tumhaaraa aks bhi tum saa nahin hai
saahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe
dariyaa mein ham jo utre to dariyaa utar gayaa
ساحل پہ لوگ یوں ہی کھڑے دیکھتے رہے
دریا میں ہم جو اترے تو دریا اتر گیا
साहिल पे लोग यूँही खड़े देखते रहे
दरिया में हम जो उतरे तो दरिया उतर गया

tum apne aks mein kyaa dekhte ho
tumhaaraa aks bhi tum saa nahin hai
dekhte ham bhi hain kuchh khvaab magar haae re dil
har nae khvaab ki taabir se Dar jaataa hai
phir nai hijrat koi darpesh hai
khvaab mein ghar dekhnaa achchhaa nahin
aap ke jaate hi ham ko lag gai aavaargi
aap ke jaate hi ham se ghar nahin dekhaa gayaa
karbalaa mein rukh-e-asghar ki taraf
tiir chalte nahin dekhe jaate
ashk Dhalte nahin dekhe jaate
dil pighalte nahin dekhe jaate
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
tu dariyaa hai to hogaa haan magar itnaa samajh lenaa
tire jaise kai dariyaa miri aankhon mein rahte hain
paaniyon mein khel kuchh aisaa bhi honaa chaahiye thaa
biich dariyaa mein koi kashti Dubonaa chaahiye thaa
dil apni talab mein saadiq thaa ghabraa ke su-e-matlub gayaa
dariyaa se ye moti niklaa thaa dariyaa hi mein jaa kar Duub gayaa
ye jo taalaab hai dariyaa thaa kabhi
main yahaan baiTh k rotaa thaa kabhi
barson pahle jis dariyaa mein utraa thaa
ab tak us ki gahraai hai aankhon mein