Shayari
kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai
ki dil ke saath hi dekhaa hai Dubnaa shab kaa
ye imtiyaaz zaruri hai ab ibaadat mein
vahi duaa jo nazar kar rahi hai lab bhi karein
یہ امتیاز ضروری ہے اب عبادت میں
وہی دعا جو نظر کر رہی ہے لب بھی کریں
ये इम्तियाज़ ज़रूरी है अब इबादत में
वही दुआ जो नज़र कर रही है लब भी करें

kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai
ki dil ke saath hi dekhaa hai Dubnaa shab kaa
us se kahnaa ki dhuaan dekhne laaiq hogaa
aag pahne hue main jaaungaa paani ki taraf
chalte hue mujh mein kahin Thahraa huaa tu hai
rasta nahin manzil nahin achchhaa huaa tu hai
jaane kyaa kuchh ho chhupaa tum mein mohabbat ke sivaa
ham tasalli ke liye phir se khagaaleinge tumhein
main sochtaa huun bahut zindagi ke baare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaae
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jaae
khayaal o khvaab mein ab ke bhi ghar na rah jaae
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
abr barse to inaayat us ki
shaakh to sirf duaa karti hai
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
yaad aae hain uff gunah kyaa kyaa
haath uThaae hain jab duaa ke liye
dukh na sahne ki sazaaon mein ghiraa rahtaa hai
shahr kaa shahr duaaon mein ghiraa rahtaa hai