Shayari
us peD ke har phal mein miraa haq zaraa rakhnaa
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiyaa hai
main us ki dhun mein nae raaste pe jaa nikli
dayaar-e-jaan se miri roz jo guzartaa rahaa
میں اس کی دھن میں نئے راستے پہ جا نکلی
دیار جاں سے مری روز جو گزرتا رہا
मैं उस की धुन में नए रास्ते पे जा निकली
दयार-ए-जाँ से मिरी रोज़ जो गुज़रता रहा

us peD ke har phal mein miraa haq zaraa rakhnaa
jis nanhe se paude ko shajar main ne kiyaa hai
amaan mein aa ke bhi jis ki main be-amaan rahun
kisi bhi aisi nazar kaa mujhe hisaar na de
auron ki aag kyaa tujhe kundan banaaegi
apni bhi aag mein kabhi chup-chaap jal ke dekh
vahin pe jhaaD ke uThte hain phir mataa’-e-hayaat
ki zindagi ko jahaan jis ke naam karte hain
us ne meri shaakhon ko is tarah numu bakhshi
zakhm ke khileinge phuul dard kaa chaman hogaa
ham tire saae mein kuchh der Thaharte kaise
ham ko jab dhuup se vahshat nahin karni aai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
main kyunkar na rakhkhun aziiz apne dil ko
kahin dil saa bhi yaar paidaa huaa hai
shab mein dekhi hain paDi paanv mein zanjirein do
yaaro is khvaab ki tum hi mujhe taabirein do
ishq-e-fuzun mein mere na ho dosto kami
maashuq umr mein hai bahut kam to kyaa huaa
dayaar-e-yaar kaa shaayad suraagh lag jaataa
judaa jo jaada-e-maqsud se safar hotaa