Shayari
vaar pusht par karke kyaa milaa tumhein aakhir
ek pal mein kho baiThe e'tibaar jitnaa thaa
A
Adil Zaidimaat khaai hai aksar shaah ne pyaade se
farq kuchh nahin paDtaa taaj aur libaade se
مات کھائی ہے اکثر شاہ نے پیادے سے
فرق کچھ نہیں پڑتا تاج اور لبادے سے
मात खाई है अक्सर शाह ने प्यादे से
फ़र्क़ कुछ नहीं पड़ता ताज और लिबादे से
vaar pusht par karke kyaa milaa tumhein aakhir
ek pal mein kho baiThe e'tibaar jitnaa thaa
aankh lagne na paai sahar ho gai
zindagi be-iraada basar ho gai
apne rasm-o-rivaaj kho baiThe
baaqi ab khaandaan mein kyaa hai
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyaat qadam
bahut qarib khudaa hai zaraa sanbhal ke chalo
ghaTaaein khul ke barsin thiin chaDhe the dil ke dariyaa bhi
chaDhe dariyaaon kaa ik din utarnaa bhi zaruri thaa
jab bhi aankh lage main dekhun ek suhaani surat
devi thi vo ruup ki raani yaa patthar ki murat
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
yaad rakhnaa bhi ik ibaadat hai
kyuun na ham un kaa haafiza ho jaaein
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar