Shayari
use suljhaaun kaise
main khud uljhaa huaa huun
A
Aghaz Barniai shab-e-gham mire muqaddar ki
tere daaman mein ik sahar hoti
اے شب غم مرے مقدر کی
تیرے دامن میں اک سحر ہوتی
ऐ शब-ए-ग़म मिरे मुक़द्दर की
तेरे दामन में इक सहर होती
use suljhaaun kaise
main khud uljhaa huaa huun
mire ehsaas ke aatish-fishaan kaa
agar ho to mire dil tak dhuaan ho
main to bas ye chaahtaa huun vasl bhi
do dilon ke darmiyaan haael na ho
vo khvaab jis pe tira-shabi kaa gumaan thaa
vo khvaab aaftaab ki taabir ho gayaa
ab agar ishq ke aasaar nahin badleinge
ham bhi pairaaya-e-izhaar nahin badleinge
qad kaa andaaza tumhein ho jaaegaa
apne saae ko ghaTaa kar dekhnaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
koi shikva na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
mire aibon ko ginvaayaa to sab ne
kisi ne meri gham-khvaari nahin ki