Shayari
biktaa rahtaa sar-e-baazaar kai qiston mein
shukr hai mere khudaa ne mujhe shohrat nahin di
faasle ye simaT nahin sakte
ab paraayon mein kar shumaar mujhe
فاصلے یہ سمٹ نہیں سکتے
اب پرایوں میں کر شمار مجھے
फ़ासले ये सिमट नहीं सकते
अब परायों में कर शुमार मुझे

biktaa rahtaa sar-e-baazaar kai qiston mein
shukr hai mere khudaa ne mujhe shohrat nahin di
kisi ki shakhsiyat majruh kar di
zamaane bhar mein shohrat ho rahi hai
meri kam-goi pe jo tanz kiyaa karte hain
meri kam-goi ke asbaab se naa-vaaqif hain
lagtaa hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaaq'
rone ki sadaa aati hai yaadon ke khanDar se
chikh uThtaa hai dafatan kirdaar
jab koi shakhs bad-gumaan ho jaae
ajab Thahraao paidaa ho rahaa hai roz o shab mein
miri vahshat koi taaza aziyyat chaahti hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad