Shayari
zard mausam ne darakhton ki zabaan sil di thi
phir koi phuul hansaa aur khizaan haar gai
ai rabb-e-zulekhaa-o-khudaa-e-abu-yusuf
ik husn ke maare hue do hijr-zada dekh
اے رب زلیخا و خدائے ابو یوسف
اک حسن کے مارے ہوئے دو ہجر زدہ دیکھ
ऐ रब्ब-ए-ज़ुलेख़ा-ओ-ख़ुदा-ए-अबू-यूसुफ़
इक हुस्न के मारे हुए दो हिज्र-ज़दा देख

zard mausam ne darakhton ki zabaan sil di thi
phir koi phuul hansaa aur khizaan haar gai
khudaa-yaa apne kun ki laaj rakh le
tiraa shahkaar zaae' ho rahaa hai
javaab aae na aae shikan to aaegi
savaal puchh hi lenaa agarche Darte hue
dastaras mein na rahe lafz-gari behtar hai
ham agar bol paDeinge to bahut boleinge
ajnabiyyat ki jhalak dekhi gai lahje mein
baat Darne ki hai is baat pe Dar jaaiye naa
zard chehron se udaasi ke bichhaDne kaa sabab
log puchheinge to kah denaa ki dukh haar gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa