Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zindagi kaa har ik gham uThaate hue
main sanbhalne lagaa laDkhaDaate hue
زندگی کا ہر اک غم اٹھاتے ہوئے
میں سنبھلنے لگا لڑکھڑاتے ہوئے
ज़िंदगी का हर इक ग़म उठाते हुए
मैं सँभलने लगा लड़खड़ाते हुए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kar rahaa thaa gham-e-jahaan kaa hisaab
aaj tum yaad be-hisaab aae
suukh gai jab aankhon mein pyaar ki niili jhiil 'qatil'
tere dard kaa zard samundar kaahe shor machaaegaa
sadma to hai mujhe bhi ki tujh se judaa huun main
lekin ye sochtaa huun ki ab teraa kyaa huun main