Shayari
bataao tum se kahaan raabta kiyaa jaae
kabhi jo tum se zarurat ho baat karne ki
bas ek shaam kaa har shaam intizaar rahaa
magar vo shaam kisi shaam bhi nahin aai
بس ایک شام کا ہر شام انتظار رہا
مگر وہ شام کسی شام بھی نہیں آئی
बस एक शाम का हर शाम इंतिज़ार रहा
मगर वो शाम किसी शाम भी नहीं आई

bataao tum se kahaan raabta kiyaa jaae
kabhi jo tum se zarurat ho baat karne ki
kuchh kahnaa chaahte the ki khaamosh ho gae
dastaar yaad aa gai sar yaad aa gayaa
rah gayaa dil mein ik dard saa
dil mein ik dard saa rah gayaa
'ajmal'-siraaj ham use bhuul hue to hain
kyaa jaane kyaa kareinge agar yaad aa gayaa
Thahar gayaa hai dil kaa jaanaa
dil kaa jaanaa Thahar gayaa hai
us ne puchaa thaa kyaa haal hai
aur main sochtaa rah gayaa
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
phunkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai khudaa
afsun-e-intizaar tamannaa kahein jise
savaal karti kai aankhein muntazir hain yahaan
javaab aaj bhi ham soch kar nahin aae
ishq kachche ghaDe pe Duub gayaa
lamha jab intizaar kaa aayaa
ghazab kiyaa tire vaade pe e'tibaar kiyaa
tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa