Shayari
raste hi mein ho jaati hain baatein bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaanaa kam kam hotaa hai
charaagh-e-raahguzar laakh taabnaak sahi
jalaa ke apnaa diyaa raushni makaan mein laa
چراغ راہ گزر لاکھ تابناک سہی
جلا کے اپنا دیا روشنی مکان میں لا
चराग़-ए-राहगुज़र लाख ताबनाक सही
जला के अपना दिया रौशनी मकान में ला

raste hi mein ho jaati hain baatein bas do-chaar
ab to un ke ghar bhi jaanaa kam kam hotaa hai
dil dabaa jaataa hai kitnaa aaj gham ke baar se
kaisi tanhaai Tapakti hai dar o divaar se
rut badli to zamin ke chehre kaa ghaaza bhi badlaa
rang magar khud aasmaan ne badle kaise kaise
pahunch ke jo sar-e-manzil bichhaD gayaa mujh se
vo ham-safar thaa magar ham-nazar na thaa meraa
yahi soch kar iktifaa chaar par kar gae shaikh-ji
mileingi vahaan un ko huur aur pariyaan vaghaira vaghaira
miri shikast bhi thi meri zaat se mansub
ki meri fikr kaa har faisla shuuri thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
vo raat kaa be-navaa musaafir vo teraa shaair vo teraa 'naasir'
tiri gali tak to ham ne dekhaa thaa phir na jaane kidhar gayaa vo
hangaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahin
haan dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa