Shayari
aadhe peD pe sabz parinde aadhaa peD aasebi hai
kaise khule ye raam-kahaani kaun saa hissa meraa hai
faakhtaaein bolti hain bajron ke des mein
tu bhi sun le aasmaan ye giit mere naam kaa
فاختائیں بولتی ہیں بجروں کے دیس میں
تو بھی سن لے آسماں یہ گیت میرے نام کا
फ़ाख़ताएँ बोलती हैं बाजरों के देस में
तू भी सुन ले आसमाँ ये गीत मेरे नाम का

aadhe peD pe sabz parinde aadhaa peD aasebi hai
kaise khule ye raam-kahaani kaun saa hissa meraa hai
hijaab aa gayaa thaa mujh ko dil ke iztiraab par
yahi sabab hai tere dar pe lauT kar na aa sakaa
itnaa aasaan nahin paani se shabihein dhonaa
khud bhi roegaa musavvir ye qayaamat kar ke
sard raaton ki havaa mein uDte patton ke masil
kaun tere shab-navardon ko sambhaale shahr mein
ghubaar-e-shahr mein use na DhunD jo khizaan ki shab
havaa ki raah se milaa, havaa ki raah par gayaa
koi na rasta naap sakaa hai, ret pe chalne vaalon kaa
agle qadam par miT jaaegaa pahlaa naqsh hamaaraa bhi
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad
aasmaan jhaank rahaa hai 'khaalid'
chaand kamre mein mire utraa hai
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae