Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
masjid mein bulaate hain hamein zaahid-e-naa-fahm
hotaa kuchh agar hosh to mai-khaane na jaate
مسجد میں بلاتے ہیں ہمیں زاہد نا فہم
ہوتا کچھ اگر ہوش تو مے خانے نہ جاتے
मस्जिद में बुलाते हैं हमें ज़ाहिद-ए-ना-फ़हम
होता कुछ अगर होश तो मय-ख़ाने न जाते

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
namaaz shukr ki paDhtaa hai jaam toD ke shaikh
vuzu ke vaaste letaa hai aabru-e-sharaab
khaate hain angur piite hain sharaab
bas yahi maston kaa aab-o-daana hai
abhi aaghaaz-e-mohabbat hai kuchh is kaa anjaam
tujh ko maalum hai ai dida-e-nam kyaa hogaa
khaaveinge Taanke zakhm-e-sar-o-ru par ai tabib
par zakhm-e-dil to ham se silaayaa na jaaegaa